Badal ki tarah .....

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay...

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqee'n...
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay...

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha...
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay...

Us ajnabi say haath milaanay k waastay...
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay...

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi...
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay...

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar...
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay...

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan...
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay...!!