You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon?
Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon?
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Related SMS
- Zara Tum Shaam Honey Do
- Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
- Zara prayy
- Chiraghon ki roshni jab zara hili
- kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
- Dosti ka asar zara dair say hota hay
- Yaad aate hai to zara kho lete hai
- Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha
- Muskura do zara khuda ke vaste,
- Moom ki tarha pigalty howe dheka usko
- Aik zara si bhool khata ban gayai
- Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai.
- Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
- Dharaktay dil Ke peechay koi Baat Hoti Hai,
- Woh humein bhulane ki baat karte hai
- Faqat ek baat kehna chahta hun
- Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
- Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
- Kya baat hai
- Naam ki kya baat kartey hoo
- Aap samandar ki baat karate hai
- Hamari baat to aur thi yaaro
- Wo Baat Puraani Yaad Ai ...!
- Ek diya bhi jale door ki baat hai,
- Nazron say nazrain milain to baat ho
- Yun nazar ki baat aur dil chura gaye
- Mohabat ki ye baat yaad aye tujhe
- Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
- Jane kis baat ki mujhko saza deta hai
- Har baat ka jawab inkar nahin hota
- Na jane konsi baat aakhri hogi
- Us ki aadat wohi har baat adhori karna
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do, Main Jugnoo Ko Jaga Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Kahan Aaghaz Hota Hai, Kahan Anjaam Hota Hai, Huner Saarey Sikha Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Mujhey Itni Mahaarat Hai Ke Main Saada Say Lafzon Mein, Tumhein Dilkash Bana […]
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta […]
Aik chand tanha khara raha Mere asmaan se zara prey Mere sath sath safar mai tha Meri manzilon se zara prey Teri justajo ke hisaar se Tere khawab tere khayal se Main wo shakhs tha jo khara raha Teri chahton se zara prey Kabhi dil ki baat kahi na thi Jo kahi to wo b […]
Chiraghon ki roshni jab zara hili, Laga tumhari ek aahat si mili, Jaake dekha jab dar pe, To phir wahi kafir hawa mili..
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka […]
Kabhi kabhi aisa bhi hota hay, Dosti ka asar zara dair say hota hay, Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main. Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..
Yaad aate hai to zara kho lete hai Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai Nind aakho me aate nahi laken Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha, Ankhon me jagta he koi rat ki tarah, Tumse umed thi k nibhao gy dosti, Tum bhi badal gaye Karachi k halaat ki tarah.
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mai roshni kam hai, tum hamare nahi to kya ghum hai, hum tumhare to haiN ye kya kam hai?
moom ki tarha pigalty howe dheka usko, rut jo badli to badalty howe dheka usko.. wo jo kanto ko b narmi se chuwa krta tha. humney phoolo ko masalty howey dheka usko , jany wo mangny jata hy duwaoon mai kisy, hath uthathy he sisikty howe dheka usko
Aik zara si bhool khata ban gayai Meri wafai hi meri saza ban gayai, Dil liya aur khail ker tor diya, Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai. Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai. Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se. Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.
Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya […]
Dharaktay dil Ke peechay koi Baat Hoti Hai, Dard-e-dil main Kisi Ki Yaad Hoti Hai, Aye dost tumhain Pata Ho na ho.. Par aapki Har Khushi K Piche Hamari Faryaad HoTi Hai.
Woh humein bhulane ki baat karte hain, Zara pucho humein kitna Yaad karte hain, Chehre pe hasi ka dikhawa hain, Magar Tanhaii mein Aansuon se Fariyaad karte hain.
Faqat ek baat kehna chahta hun Teri ankhon main rehna chahta hun Bohat jaag chuka hun tere hijr main Tere anchal main sona chahta hun Zamane bhar ki khushian aur ter gham Ye gham kuch aur sehna chahta hun
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kia hai Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia […]
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi […]
Kitabo k panno ko palat k sochta hu u palat jaye meri zindagi to kya bat hai, khwabo me roz milti hai jo hakikat me aaye to kya bat hai
Naam ki kya baat kartey hoo, Log chehrey tak bhul jaate hain, Tum Samundar ki baat karte hoo, Dubne waale to Aankhon mein bhi doob jaate hain.
Kaun yaad rakhata hai naamko, Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai, Aap samandar ki baat karate hai, Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!
Usne hothon se chu kar, pani ko gulabi kar diya, Hamari baat to aur thi yaaro, machliyo tak ko bhi sharabhi kar diya
Iqrar Kiya Tha Tumny Bhe, Ky Mjhe Tumsy Muhabbat Hai ...! Lo !! Bethey Bithaye Ajj Humein, Wo Baat Puraani Yaad Ai ...!
Ek diya bhi jale door ki baat hai, Ho kahi bhi noor namumkin si baat hai, Khud se milne par bhi hai humare paabandiya, Tujh se milna to door ki baat hai.
Qasam unki jo hamain azmaye baithe hain, pass hain dil ke par dur jakar baithay hain, nazron say nazrain milain to baat ho, mushkil to ye hai ki wo nazrein jhukaye baithay hain.
Yun nazar ki baat aur dil chura gaye, Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye, Hum to samjhe the "Ajnabi" aapko, Aap to hume apna bana gaye
Mohabat ki ye baat yaad aye tujhe, choo k na guzre gham ki hawayein tujhe. Mera kya hai mein khak bhi ban jaun, meri mitti bhi degi duayein tuje.
Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki […]
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai, meri hasti hui ankhon ko rula deta hai. Ek muddat se khabar bhi nahi teri, koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
Har baat ka jawab inkar nahin hota Har jaga rukna intazar nahin hota Yun to milti hein hazaron se nazrein Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Na jane konsi baat aakhri hogi, na jane konsi raat aakhri hogi, karni hai to karle jee bhar ke baatein, na jane hamari konsi saanse aakhri hogi.
Us ki aadat wohi har baat adhori karna aur phir baat ka mafhoom badaltay rehna Janay kis umar mein jaye gi yeh aadat us ki Roothna mujh se, to auron se ulajhtay rehna
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhi ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha'aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun […]