Ujalay apni yaadon k……
posted in Ghazal SMS |
humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye
kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye
ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye
sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye
mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye
ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
Similar SMS:
- Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
- Kaam kaam kaam
- Badal ki tarah …..
- Phir aaj koi ghazal teray naam na ho jayai
- TEHREER MEIN THA