You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » TEHREER MEIN THA
TEHREER MEIN THA
A ghazal about a face remembered like a reflection in still water — once seen, impossible to place where it belongs.
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,
Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi,
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel se tha,
Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha,
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha€¦€¦
Related SMS
- aik mein bhi tanha they sau(100) mein bhi akailey hein
- Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein
- Har nazar mein ek kashish hoti hai,
- Khayal mein aata hay jub uska chehra
- Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib
- Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
- Deepak mein agar noor na hota
- Aatish-e-khamosh me jalta raha mein der tak
- Zameen per nahin tot'ti pani mein tot jati hai
- Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut
- Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
- Aap ka ashiyana dil mein basaya hai
- Rooz ta'arun ki numaish mein faraq parta hay
- Dono aankho mein ashq liya karte hain
- Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- Teri yaad mein humne
- Unka ashiyana dil mein basa rakha hai
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Usay mein ne hi likha tha
- Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein..
- zara se cell mein de jagah tu
- Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai
- Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
- Is pyari si subah mein
- Rooz khawab mein nazar aatey ho tum
- Har pal mein rahon tum se khafa kaisa lagayga
- Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
- Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
- Hum tumharay dil mein hain k nahi
- Tere DIL mein rahenge SMS bankar
- Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahin SAAQI,
- Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti
Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir aap hein udher tanha ...hum idher akailey hein bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein aap se bichar ker hum […]
Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein, Tumhain bhula k ek Duniya basana chahta hoon mein, Magar naa jane kyun nikal aate hai Aansu, Jab bhi tumhe bhulana chahta hoon mein.
Every heart carries longing, but building a Taj Mahal is impossible when most hearts are already housing four or five Mumtazes. Har nazar mein ek kashish hoti hai, Har dil mein ek chahat hoti hai, Mumkin nahi har ek k liye tajmahal banana, Kyunki har dil mein 4-5 mumtaz hoti hai.
When her face floats into the mind, every cruelty fades — and what's left is just a bit of her love, hard to let go. Khayal mein aata hay jub uska chehra to labon pay aksar faryad aati hai Hum bhool jatay hain uskay saray sitam jub uski thori si mohabbat yaad ati hai
A ghazal about things this world offers freely — except the past, a shoulder in grief, and a friend who truly stays. Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib Nahin milta to guzra hoa pal nahin milta Kartey rahen ge younhi sairab zameenen In aansoon ko ab koi aanchal nahin milta Ghurbat mein mayyasar […]
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!
Poetic Roman Urdu Eid SMS about wishing to come and say Eid Mubarak in person but the distance making it impossible. deepak mein agar noor na hota tanha dil youn majboor na hota mein app ko "EID MUBARAK" kehne zaroor ata agar app ka ghar itna door na hota "EID MUBARAK"
Alwida keh kar usey takta raha mein der tak, Aatish-e-khamosh me jalta raha mein der tak, Shehr ki veeraan galyoon me akela raat bhar, Ik musaafir ki tarha phirta raha mein der tak, Aasmaan par ek adhoora chand or bikhrey taarey, Intezaar-e-subhu me ginta raha mein der tak, Sochta hon kis liye bujhta chala jata […]
A classic object riddle asking what doesn't break when thrown on the ground but shatters in water — think laterally for the answer. Wo kon si cheez hai jis ko agar zameen pe painko to nahi tootti, Lekin agar pani mein painko to toot jati hai.
Hindi sawan (monsoon) verse: the season's heavy rain this year carried memories of an absent person, eyes joining the downpour. Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut, Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi, Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, […]
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai, apki yado ko seenay sey lagaya hai, pata nahi yaad apki hi kyo aati hai, dost to hamne auron ko bhi banaya hai
Rooz ta'arun ki numaish mein faraq parta hay Chaand pagal hay andhairay mein nikal parta hay ik deewana musafir hay meri aankhon mein waqt bay waqt tehar jata hay, chal parta hay Apni ta'abeer k chakkar mein mera jaagta khuwab roz sooruj ki tarah ghar se nikal parta hay
Dono aankho mein ashq liya karte hain, Hum apni neend mein tera naam liya karte hain. Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain, Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain....
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay Daikh laitay hain chalo hosla apnay […]
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Tried drawing your portrait as a keepsake to hold close — ended up using it to scare children instead. Teri yaad mein humne qalam uthaya liya paper aur tasveer aapki banayi socha tha k usko dil se laga kar rakhenge magar woh to bacho ko daraane ke kaam aayi...
Unka ashiyana dil mein basa rakha hai, Unki yadon ko seene se laga rakha hai, Pata nahi yaad aate hain wohi kyun, Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.
Nothing left in the heart except the ache of loving you — and nothing worth offering except wounds. Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Jo lehjay barf ho jayen, to woh pighla nahin kartay, Parinday dar k urr jayen, to woh lota nahin kartayy, Yaqeen uth jaye to shayu, kabhi wapas nahin aata, Hawaon ka koi toofan, kaabhi baarish nahin laata, jo dil aik baar totay to, kabhi woh jurr nahin pata, usey mein ne hi likha tha, us […]
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein.. Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein.. Pehle to hum harr baat par haste ya rote the.. Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!
A romantic message in Roman Urdu asking for a little space — framed entirely in terms of cell memory and inbox capacity. Zara se 'cell' mein de jagah tu, Zara se 'inbox' le saja tu, Zara se 'sent items' mein ja tu, Zara se 'balance' le ghata tu, Mein bhejuun tujhko mere sms bephana
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai, Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai, Tu bhaley hi bhula dey mujh ko, Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.
Nobody truly does anything for anyone else — not even the living stand by the living half as much as they claim. Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta Marne wale ke saath har koi nahi marta Arey‚¦ Marne ki baat to door rahi Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi […]
A gentle Roman Urdu good morning wish wrapped in birdsong, soft breeze, and the warmth of thinking about someone special at dawn. Is pyari si subah mein, pyare se mausam mein, pyari si koyal ki awaaz, pyari si hawaaon mein, sabse pyare insaan, aur sabse pyare dost ko meri taraf say Good Morning ka paigham:)
rooz khawab mein nazar aatey ho tum kio mujhey neend mein bi daratay ho tum
Ban jaon agar tum sa tumhen kaisa lagayga Har pal mein rahon tum se khafa kaisa lagayga Parhtay ho mujhey tum jo namazon ki tarah se hojaon agar tum se qaza kaisa lagay ga tum pyar mein khud ko kabhi mitnay pay ho raazi baj jaye agar pyar saza kaisa lagay ga khud se bhi […]
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon Tum ko apna banaana chahta hoon Bhula kar apne sab gham Tumhe dilse apnana chahta hoon Tumhe tumhari ijazaat se Apne dil mein basana chahta hoon Apne naam k saath joar kar tumhara naam Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane Tumhe […]
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, […]
Dosti karna‚ hamain bhi sikhado zara, Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara, Hum tumharay dil mein hain k nahi, Zuban say na sahi sms se to batado zara.
Tere DIL mein rahenge SMS bankar, Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar, Kabhi apne DIL se juda mut Samajana, Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!
Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon..! Isi Lagan Mein Kayi Shaamein Guzaar Deta Hoon..! Main Yunhi Her Aik Se Be-Rabt Nahin Milta, Her Aik Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon..! Main Gham Ki Kashti Ko Dabona Nahin Chaahta, Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon..! Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta […]
Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti, Khuwabon mein bhi unse Mulaqat na hoti, Yeh Dil hi to har ek Ghum ki wajah hai, Yeh Dil hi na hota to koi baat hi na hoti.