TERI YAAD AA REHI HAY

NA FIKR E FARDA
NA YAAD E MAAZI
NA CHAIN DIL KO
NA BE KARARI
NA HUD SE GUZRA HUWA JUNOON WO
NA KHAMOSHI WO PEHLE JESI
BAS EK UDASSI HAY DHEEMI DHEEMI
BAS EK KHAMOSH SI BE KARARI
JO ZINDAGI K ADHURE PAN KO
HUDON SE AAGE BARHA REHI HAY
SHAYAD TERI YAAD AA REHI HAY
HAAN...
TERI YAAD AA REHI HAY...!