You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Jub teri dhun main jiya kertay thay
Jub teri dhun main jiya kertay thay
Jub teri dhun main jiya kertay thay,
hum bhi chup chaap phira kertay thay,
Aankhon mein pyaas howa kerti thi,
Dil mein toofan utha kertay thay,
Loog aatay they ghazal sunne ko,
Hum teri baat kia kertay thay,
Such samajhtay they teray wadon ko,
Raat din ghar mein raha kertay thay,
Woh bhi kia din thay tujhey bhula ker,
Hum tujhey yaad kia kertay thay,
Kal tujhey dekh ker yaad aaya,
Hum bhi kabhi tumhain pyar kia kertay thay.
Related SMS
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Anmol na thay..!
- Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
- Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
- Kya zamana tha hum roz mila karte thay
- Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain
- Har pal hum apko yad kia kertay hain
- Hum khud pe gharur nahi kertay
- Kisi pey mar mitne wale hum na thay
- Yad kertay hain her sans k baad
- Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
- Waqt-e-dua main ek dua karon
- Mohabbat hum bhi kertay hain
- Saans lene se bhi teri yaad aati hai
- Kisi se pyar kertay ho
- Har shakal bus teri hi nazar aati ha
- Aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi,
- Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai
- Ishq ke sahare jiya nahi karte
- Sans bhi to teri yaad k baad aati hai
- TERI YAAD AA REHI HAY
- Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain
- Aise hi nashili nahi teri aankhen
- Har subah, teri muskurati rahay
- Na miltay ho na SMS kertay ho
- Woh nadiyan nahi thi, mere aansu thay
- Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
- Teri har ada mohabbat si lagti hai
- Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye
- Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain
- Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay
- bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.
- Mansoob thay jo loog meri zindagi k saath
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
ankhon me jo tehreerain theen! honto pay vo bol na thay... Hum thay us k pyar k aashiq! Bas hathon mein kashkol na thay... Hum ne us ko toot k chaha! ye us ka haq tha lakin... Wo b hum ko toot k chahey! Hum itnay "ANMOL'' na thay....
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, […]
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam Barastay badlon ki aas mein […]
Kya zamana tha hum roz mila karte thay, Raat bhar chand k hamrah chala karte the, Dekh k jo hamain chup chap guzar jata hai, Kabhi is shakhs sey hum pyar kiya karte the.
Lamhay judai k be qarar kertay hain, Halaat meray mujhey lachaar kertay hain, Aankhain meri parh lo kabhi, Hum khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain.
Chupke chupke faryad kia kertay hain, Har pal hum apko yad kia kertay hain, Yeh hum nahin kehtay ghar wale kehtay hain, k nend main bhi hum aapka naam lia kertay hain
Hum khud pe gharur nahi kertay, Kisi ko dosti kerny py majbor nahin kertay, Magar jisy ek bar dil mein basa lein, Usay martay dum tak dil say door nahin kertay,
Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the, kisi pey mar mitne wale hum na thay, aadat si par gayi tumhe yaad karne ki, warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
Sunehri dhoop barsaat k baad, Thori si hansi her baat k baad, Jaisay aati hay subha her raat k baad, Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!
Waqt-e-dua main ek dua karon, main rab se ek eltija karon, tu khush rahe, tu shaad rahe, teray dil ka angar abaad rahay, tu har pal yun hi hansa kare, tu phulon ki manind khila kare, teri zindagi main koi ghum na ho, teri aankh kabhi num na ho, tujhey kisi se koi gila na […]
Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay hum apni mohabbat ko yun ruswa nahi kertay jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain jo uth ker chala jaye usey roka nahi kertay
Saans lene se bhi teri yaad aati hai, Har saans mein teri khushboo bas jati hai, Kese kahoon ki saans se main zinda hoon, Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Kahan dil chor aye ho, bohut chup chap se rehtay ho, Na bante ho na sanwarte ho na koi bat karta ho Bhari mehfil main bhi aksar hamesha khoay rehtay ho Udasi aankho main le kay her ek chehre ko takte ho Koi jab yaad aata hai to Thundi aah bharte ho To khul kar […]
Tumhari hansi ki ek nazar yaad aati hay, Zindagi ki har shaam subah nazar aati hay, Jab say daikha hay tujhey dil ki aankhon say, Har shakal bus teri hi nazar aati ha..
Meray mehboob qayamat hoogi, aaj ruswa teri galiyon mein mohabbat hogi, Meri nazrain tou gila karti hain, teray dil ko bhi tujhsay shikayat hogi.
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai, Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai, Tu bhaley hi bhula dey mujh ko, Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.
Ishq ke sahare jiya nahi karte, Gum ke pyalo ko piya nahi karte, Kuchh Nawab dost hain hamare, Jinko Preshan na karo to wo yaad bhi kia nahi karte
Sans lainay se teri yaad aati hai, Yaad aanay se meri jaan jati hai, Kaise kehdoon k sirf sans se zindagi he, Sans bhi to teri yaad k baad aati hai,
NA FIKR E FARDA NA YAAD E MAAZI NA CHAIN DIL KO NA BE KARARI NA HUD SE GUZRA HUWA JUNOON WO NA KHAMOSHI WO PEHLE JESI BAS EK UDASSI HAY DHEEMI DHEEMI BAS EK KHAMOSH SI BE KARARI JO ZINDAGI K ADHURE PAN KO HUDON SE AAGE BARHA REHI HAY SHAYAD TERI YAAD AA […]
Her khushi main tumhari bat kartay hain, Tum salamat raho yeh faryad kartay hain, Ab aik sms main kaisay batayain k, Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain...
Jab khuda ne tujhe banaya hoga, ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga.. Aise hi nashili nahi teri aankhen, jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga...
Har subah teri muskurati rahay har shaam teri gungunati rahay tu jise bhi mile is tarahe se milay ke har milne wale ko teri yaad aati rahay!
Aay dost tum bhi ajeeb ho. Meray dil k kitnay qareeb ho. Na miltay ho na SMS kertay ho. kia tum mujh say bhi ziyadah gharib ho.
Woh nadiyan nahi thi mere aansu thay, Jis per mere dost kashtiyan chalatay rahay, Manzil milay unhain ye chahat thi meri, Isliya hum ansu pe ansu bahatay rahay...
Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya Hansta daikh […]
Teri har ada mohabbat si lagti hai Ek pal ki judayi sadiyoun si lagti hai Pehle nahin socha tha ab sochne laga hoon Zindagi ke har lamhe mein teri zaroorat si lagti hai
Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye, bhul k bhi tujhe bhulun wo ehsaas na aaye, tu bhule to teri marzi, MAIN bhulu to agli saans na aaye..
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi, Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain, Ho na jayai kahin un ka dedar hamain, Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain, Na koi dost na sathi jub apnay […]
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay, Mohabbat to mohabbat hai, Bari anmol hoti hai, Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay, Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena, Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte. jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte. agar unko mohabbat hai toh hum se akar izaar kare. peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte
Mansob thay jo log meri zindagi k sath Akser woh milay bari bayrukhi k sath Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay Aey dost youn na khail meri bay basi k sath Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log Itna Bura salook meri saadgi k saath.