You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay
Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay
Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein tarsa nahi kertay
Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay
Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay
Related SMS
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Mohabbat hum bhi kertay hain
- Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain
- Hum tumharay dil mein hain k nahi
- Hum khud pe gharur nahi kertay
- Har pal hum apko yad kia kertay hain
- Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
- Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain
- Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain
- Jo rahte hai dil mein, vo juda nahi hote
- Yad kertay hain her sans k baad
- Jub teri dhun main jiya kertay thay
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.
- Dono aankho mein ashq liya karte hain
- Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain
- Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
- Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain
- Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ...
- kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
- badalta nahi pyar kabhi magar...
- duniya ki to humain parvah nahi bas tumhe khone say dartay hain
- Kitnay chehray hain is duniya mein,
- Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay
- Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna
- Merey Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
- Kuch log tot kar chahtay hain
- Ladkiyan badal jati hain ladke nahi badalte.
- Kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho?
- Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain
- Tum nahi, ghum nahi, sharab nahi
- Aaj badal kalay gehray hain,aaj chand pay lakhon pehray hain
- Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay hum apni mohabbat ko yun ruswa nahi kertay jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain jo uth ker chala jaye usey roka nahi kertay
Lamhay judai k be qarar kertay hain, Halaat meray mujhey lachaar kertay hain, Aankhain meri parh lo kabhi, Hum khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain.
Dosti karna‚ hamain bhi sikhado zara, Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara, Hum tumharay dil mein hain k nahi, Zuban say na sahi sms se to batado zara.
Hum khud pe gharur nahi kertay, Kisi ko dosti kerny py majbor nahin kertay, Magar jisy ek bar dil mein basa lein, Usay martay dum tak dil say door nahin kertay,
Chupke chupke faryad kia kertay hain, Har pal hum apko yad kia kertay hain, Yeh hum nahin kehtay ghar wale kehtay hain, k nend main bhi hum aapka naam lia kertay hain
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain, Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain, Kehtay hain us daur ko pyaar, Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi, Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain, Ho na jayai kahin un ka dedar hamain, Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain, Na koi dost na sathi jub apnay […]
Her khushi main tumhari bat kartay hain, Tum salamat raho yeh faryad kartay hain, Ab aik sms main kaisay batayain k, Hum tum ko KITNA YAAD kertay hain...
Jo rahte hai dil mein, vo juda nahi hote, kuch ahsas lafzo mein bayan nahi hote, ek hasrat hai unhe manane ki, vo itney achay hain ki kabhi khafa nahi hote.
Sunehri dhoop barsaat k baad, Thori si hansi her baat k baad, Jaisay aati hay subha her raat k baad, Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Jub teri dhun main jiya kertay thay, hum bhi chup chaap phira kertay thay, Aankhon mein pyaas howa kerti thi, Dil mein toofan utha kertay thay, Loog aatay they ghazal sunne ko, Hum teri baat kia kertay thay, Such samajhtay they teray wadon ko, Raat din ghar mein raha kertay thay, Woh bhi kia din […]
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Insano ke kandhay pe insaan ja rahay hain. kafan me liptay kuch armaan ja rahey hain. jinhe nahi mili mohhobat duniya mein. mohhobat pane woh shamshan ja rahay they.
Dono aankho mein ashq liya karte hain, Hum apni neend mein tera naam liya karte hain. Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain, Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain....
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain, Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain, Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech, Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.
Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta Marne wale ke saath har koi nahi marta Arey‚¦ Marne ki baat to door rahi Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta
Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain, Har Zakhm ko apne hathon se si lete hain, Jiss hath ko keh diya apno ka hath, Uss hath se hum Zeher bhi pi lete hain,
"Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ... Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi... Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k... Meri kisi saada par woh thehra he nahi... khuda se jholi pehla kay manga tha usay ... Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi... […]
kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate, kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate, kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate, aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.
waqt ki andhi mein tufan badal jaty hain zindagi ki rahoon mein insan badal jatay hain badalta nahi pyar kabhi magar... pyar karny walay insan badal jatay hain
Teray ishq me jeetay hain tere ishq me marte hain, tum khush raho sirf yehi dua hum kiya karte hain. duniya ki to humain parvah nahi bas tumhe khone say dartay hain.
Kitnay chehray hain is duniya mein, Magar humko ek chehra hi nazar aata hai, Duniya ko hum ab kya dekhain, Ab uski yaadon me hi sara waqt guzar jata Hai. . . . !!
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay, Mohabbat to mohabbat hai, Bari anmol hoti hai, Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay, Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena, Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna Main pehlay hi akaila hon Mujhey tanha nahi kerna Meri in ankhon ko Kabhi sehra nahi kerna Judai bhi jo aa jayai To dil choota nahi kerna Bharoosa bhi zarori hay Magar sab ka nahi kerna Muqaddar phir muqadder hay Kabhi da'awa nahi kerna Jo likha hay […]
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss […]
kuch log tot kar chahtay hain, kuch log chah kar toot jatay hain, hamain tum se mohabbat hai kitni, aao aaj tumhein yeh batatay hain, suna hay pyar mein mushkil nahi kuch bhee, chalo samandar mein aag lagar kar azmatay hain.
Ek din ek ladka ek ladki ke sath baitha tha doosre din doosri ladki ke sath teesre din teesri ladki ke sath baitha tha Moral of the story Ladkiyan badal jati hain ladke nahi badalte.
Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho, Tasveer ban k meri aankhon k paas rehtay ho, Aaj poochtay hain aik sawal tumsay, kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho? <Miss You>
Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain, hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain, humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankhon se chalakte hain..!
Tum nahi ,ghum nahi,sharab nahi Aisi tanhai ka jawab nahi Jane kis kis ki maut aayi hai Aaj rukh par koi naqab nahi Woh karam ungiiyo pe ginte hai Jurm kay jin k kuch hisaab nahi
Aaj badal kalay gehray hain, aaj chand pay lakhon pehray hain, Kuch tukray tumhari yaadon k, bari dair say dil mein thehray hain,
Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein, Tumhain bhula k ek Duniya basana chahta hoon mein, Magar naa jane kyun nikal aate hai Aansu, Jab bhi tumhe bhulana chahta hoon mein.