Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay

Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,

Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,

Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,

Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,

Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay