Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna

Wafa ruswa nahi kerna,
Suno! aisa nahi kerna

Main pehlay hi akaila hon
Mujhey tanha nahi kerna

Meri in ankhon ko
Kabhi sehra nahi kerna

Judai bhi jo aa jayai
To dil choota nahi kerna

Bharoosa bhi zarori hay
Magar sab ka nahi kerna

Muqaddar phir muqadder hay
Kabhi da'awa nahi kerna

Jo likha hay zaroor hoo ga
Kabhi shikwa nahi kerna.!