You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay
mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay
gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay
wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain
kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Related SMS
- Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
- Mujhe tanha honay nahi detay
- Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte
- Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte
- Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna
- Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
- Phir laut kar college ke zamane nahi aate
- Usay mein ne hi likha tha
- Zindagi kisi ki amanat nahi hoti
- Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
- Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge..
- Zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti
- Bewaja kisi ko sataya nahi karte
- Wo nafrat bhi kartay hain pyar k liyay,
- Dosti kisi ki riasat nahi hoti
- Wo phir se mil gaya to phir...?
- Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
- Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare
- Kia usay bhi hamara khayal aata hai
- Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein..
- Woh khud ko bay-wafa nahi kehtaa
- Intezar to sab kartay hain
- Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
- 1 nafrat hi nahi dard ka sabab
- Log ishq kartay hain baray shor kay sath
- Kaisi bachon si baatain kartay ho
- Tum nahi, ghum nahi, sharab nahi
- Wafa ruswa nahi karna...
- KOI NAAM NAHI AY GA
- aik mein bhi tanha they sau(100) mein bhi akailey hein
- Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat
Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari Humein Zindagi K Kathan Raston Mein Hemesha […]
Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k "saqi" unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay
Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte, Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte, Ek baar yun kisi ko keh ker apna, Daman phir uss se churaya nahi karte, Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne […]
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein, Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,
Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna Main pehlay hi akaila hon Mujhey tanha nahi kerna Meri in ankhon ko Kabhi sehra nahi kerna Judai bhi jo aa jayai To dil choota nahi kerna Bharoosa bhi zarori hay Magar sab ka nahi kerna Muqaddar phir muqadder hay Kabhi da'awa nahi kerna Jo likha hay […]
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar […]
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Phir laut kar college ke zamane nahi aate.
Jo lehjay barf ho jayen, to woh pighla nahin kartay, Parinday dar k urr jayen, to woh lota nahin kartayy, Yaqeen uth jaye to shayu, kabhi wapas nahin aata, Hawaon ka koi toofan, kaabhi baarish nahin laata, jo dil aik baar totay to, kabhi woh jurr nahin pata, usey mein ne hi likha tha, us […]
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Amanat main kabhi kayamat nahi hoti, Dil ko sambhal kar rakhna, Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.
Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta Marne wale ke saath har koi nahi marta Arey‚¦ Marne ki baat to door rahi Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta
Kisi mor pe ham ap ko khoney nahi denge.. Juda hona chaho to honey nahi denge‚¦ Chandni raton man aye gi meri yad‚¦ Meri yad k wo pal ap ko soney nahi denge
zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti dosti sirf jazbaat nahi hoti kuch to khayal aaya hoga khuda ko, varna yu hi aapki humse mulakat nahi hoti.
Bewaja kisi ko sataya nahi karte, had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte, jinki sansain chalti ho apke sMs se, unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
Wo nafrat bhi kartay hain pyar k liyay, Wo inkaar bhi kartay hain iqrar k liyay, Ajeeb hotay hai yeh ishq karne waalay, Aankhain bhi band kartay hain to sirf deedaar k liyay.
Dosti kisi ki riasat nahi hoti, Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna, Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti
Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir...? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir...? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai... Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir...? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi […]
Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai, ajnabi koi shaks yaar ho jata hai, khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa, khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare, Kare to qayamat tak judaa na kare. Ye maana ki koi marta nahi judaai mein, Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Fursat main jub kabhi wo yaad aata hai, Dil main sirf aik hi sawal aata hai, Yaad kartay hain jisay hum..!!! kia usay bhi hamara khayal aata hai
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein.. Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein.. Pehle to hum harr baat par haste ya rote the.. Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!
Woh kehta rehta hay, bari majbooriyan hain waqt ki Saaf lafzon mein woh khud ko bay-wafa nahi kehtaa
Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia, Intezar to sab kartay hain, saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein Kuch Posheeda Si Baatein Hai In Posheeda Si Baaton Mein Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain In Baaton Ko Hum Muddat Se Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein Har Shai Main Tumhi Ko Dekha […]
Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz... MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain.
Log ishq kartay hain baray shor kay sath, Humne bhi kia bare zor kay sath, Lakin ab karain gay thoray ghor kay sath, Kyunke kal usay dekha kisi aur kay sath.
Mujsay bicher kay kush rahtay ho Meri tarah tum bi jothay ho Eik diwar pay chand nikla tha Main yeh samjah tum baithay ho Ojlay ojlay phool khelay thay Bilkul jaisay tum hanstay thay Mujay sham bata dayti hai Tum kaisay kapray pehnay ho Dil ka hall para chahray say Sahil say lahrain gintay ho […]
Tum nahi ,ghum nahi,sharab nahi Aisi tanhai ka jawab nahi Jane kis kis ki maut aayi hai Aaj rukh par koi naqab nahi Woh karam ungiiyo pe ginte hai Jurm kay jin k kuch hisaab nahi
Wafa ruswa nahi karna... Suno aisa nahi karna Mai pehle hi akela hu Muje tanha nhi karna, Judai aa b jaye to Ye dil chota nhi karna Bohat musroof ho jana Muje socha nhi karna, Barosa b zarori hai Magar sub ka nhi karna Muqadar to muqadar hai kabi shikwa nahi karna Meri takmeel tum […]
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga, Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga, Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj, Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga, Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay, Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga, Uski galyon mein hamay koi nahi […]
Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir aap hein udher tanha ...hum idher akailey hein bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein aap se bichar ker hum […]
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam Barastay badlon ki aas mein […]
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat, Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahi hai. Ye Ishq-e-Mohabbat ki Riwayat bhi Ajeeb hai, Pana bhi nahi hai Usey Or khoona bhi nahi hai