Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana
posted in Ghazal SMS |
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk
ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk
Similar SMS / Text messages
- Main sun k uski sub batain
- Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- Koi mousam bhi hum ko raas nahin
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
- Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega

(9 votes, average: 4.22 out of 5)