You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Jeena He To Is Pal Ko Jee Le
Jeena He To Is Pal Ko Jee Le
Waqt “Kehta‚ Hai phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai To Is Pal Ko Jee Lay,
Shayd Me Kal Tak Na Ji Paunga
Related SMS
- Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray
- Tere bina hum jeena bhool jate hain
- Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati
- Teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
- Aankhon aankhon main
- Woh khud ko bay-wafa nahi kehtaa
- Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai
- Raat guzri phir mehekti subah ayi
- Kaisay guzarti hay raat meri
- Mujhey chain mila?
- Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana
- Mushkil hota hai jawab dena
- Hum jheel kinare ja baithen
- Har taraf khamoshi ka saya hai
- Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee
- Khuli aankhon se sari umar dehka
- RAAT hui jab shaam k baad
- Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye
- Waqt-e-dua main ek dua karon
- Ghum ki aahat na aaye tere dar par,
- Maana waqt ney ki hai bewafai tujhse
- Rooz ta'arun ki numaish mein faraq parta hay
- Tere qareb aa kay bari uljhano main hon
- Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai
- Jub teri dhun main jiya kertay thay
- Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
- Dekho Meri Aankhon
- Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai
- Har shakal bus teri hi nazar aati ha
- Duaon ki qaboliat k auqaat
- Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga,
Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray, Kab isay milay gi, man chahi baharain, Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray, Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay
Tere bina hum jeena bhool jate hain, Zakhmon ko seena bhool jate hain, Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain, Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain.
Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati, marna chahte hai magar maut paas nahi Aati. Bahut Udaas hain hum is zindagi se, Kismat bhi Tadpaney se Baaz nahi Aati...
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge, K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge, Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge, Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, […]
Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat Ho gaee bersaat aankhon aankhon main Mil na saka tha dil kabhi dil say Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main Day diya dil aik doojay ko Ho […]
Woh kehta rehta hay, bari majbooriyan hain waqt ki Saaf lafzon mein woh khud ko bay-wafa nahi kehtaa
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai, Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai, Tu bhaley hi bhula dey mujh ko, Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.
Raat guzri phir mehekti subah ayi, dil dharka phir tumhari yaad ayi, aankhon ne mehsoos kiya uss hawa ko, jo tumhe chhu kar hamare pass ayi.
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
Ae baad-e-saba us nagar main ja usay itna bata ek dost tera kehta hy sada mujhy apna bana chahat ko jaga ae jaan-e-ghazal teri baat azal tere hont kanwal teri aankh ghazal ae jaan-e-wafa khud tu hi bata kab tere siwa mujhey chain mila ... ???
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho yun hi bahanay qayam rakhna, tum […]
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai, Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai, Mushkil hota hai jawab dena, Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai
Kabhi waqt mile to aajao, Ham jheel kinare ja baithen, Tum apne sukh ki baat karo, Hum apne dukh ki baat karain, Aur un lamhoon ki baat karain, Jo sung tumhare beet gaye, Aur ehd-e-khizan ki nazar howy, In sabz ruton k daman mai, Hum pyar ki khushbo mehkain, In bikhray sabz nazaron ko, Ham […]
Har taraf khamoshi ka saya hai, Zindagi me pyaar kisne paya hai, Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai "Dekho aaj phir peekar aaya hai."
Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee, Phir bhi unhi say pyaar kar raha hun main, Maloom hai na aayegi kabhi waqt say pehlay, Phir bhi apni maut ka intezaar kar raha hun main,
Khuli aankhon se sari umar dehka, Ek aisa khowab jo apna nahin tha, aaj tak woh shahks dil mein haiiiii, K jo us waqt bhi mera nahin tha...
RAAT hui jab shaam k baad Teri yaad aayi har baat k baad Hum ne khamosh rah kar bhi dekha Phir bhi teri aawaz aayi har saans k baad
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye, Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye, Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon, Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
Waqt-e-dua main ek dua karon, main rab se ek eltija karon, tu khush rahe, tu shaad rahe, teray dil ka angar abaad rahay, tu har pal yun hi hansa kare, tu phulon ki manind khila kare, teri zindagi main koi ghum na ho, teri aankh kabhi num na ho, tujhey kisi se koi gila na […]
Ghum ki aahat na aaye tere dar par, pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho, bhool se jo tapke teri aankhon say moti, thamay wohi jo tumhain sabse pyara ho..
Wo laut aayega teri zindagi mein, jiska intzaar tujhe aaj bhi hai, maana waqt ney ki hai bewafai tujhse lekin meri duaon me asar aaj bhi hai
Rooz ta'arun ki numaish mein faraq parta hay Chaand pagal hay andhairay mein nikal parta hay ik deewana musafir hay meri aankhon mein waqt bay waqt tehar jata hay, chal parta hay Apni ta'abeer k chakkar mein mera jaagta khuwab roz sooruj ki tarah ghar se nikal parta hay
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon main hon k tere doston main hon, Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago, Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon, Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar, Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon, Tu hans […]
Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai, dil totay to armaan reh jaata hai, laga to deta hai waqt marham is dil par, phir bhi umar bhar ek zakhm reh jata hai
Jub teri dhun main jiya kertay thay, hum bhi chup chaap phira kertay thay, Aankhon mein pyaas howa kerti thi, Dil mein toofan utha kertay thay, Loog aatay they ghazal sunne ko, Hum teri baat kia kertay thay, Such samajhtay they teray wadon ko, Raat din ghar mein raha kertay thay, Woh bhi kia din […]
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana teri awaaz k sehar se na nikal paana tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana bohat chaha […]
Dekho Meri Aankhon Mai Khawaab Kis k Hai, Dekho Mere Dil Mai Toofan Kis k Hai, Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raste Se Koi Nahi Guzra, To Phir Yeh Pairon Ke Nishan Kiske Hain..
Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai, Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai, Tumhari chahatain hum ko nahin hasil, To ab ghair hi bun jayain tou acha hai, Hamari to umer guzri hai teri chahat main, Tu is aag main na jalay to acha hai, Barsoon se thi Dua k tu […]
Tumhari hansi ki ek nazar yaad aati hay, Zindagi ki har shaam subah nazar aati hay, Jab say daikha hay tujhey dil ki aankhon say, Har shakal bus teri hi nazar aati ha..
According to HADEES, Duaon ki qaboliat k auqaat, 1.Farz namaz k baad, 2.Azan or aqamat k darmian, 3.Tahajjud k waqt, 4.Barish barastay waqt, 5.Dauran-e-safar, 6.Iftaar k waqt, 7.Jummay k din ek ghari, 8.Shab-e-qadar main, 9.Zam zam peetay waqt, 10.Arfa k din maidan-e-arfat main, 11.Quran ki tilawat k baad.
Jis waqt khuda ne tumhain banaya hoga, ek saroor sa uske dil pe chaya hoga... pehle socha hoga tujhe jannat mein rakh lun.. phir ussay zoo ka khayal aaya hoga...