Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon?
posted in Ghazal SMS, Poetry SMS |
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Similar SMS:
- Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
- Kisi or ko daikh k muskura na sakay
- Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
- Is anjaan duniya main aap kahan say aa gayai?