Rona bhi parta hay

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo'n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza'n aaye tau phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee'n bhatee'n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hoo'n chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai