Zara prayy
posted in Ghazal SMS |
Aik chand tanha khara raha
Mere asmaan se zara prey
Mere sath sath safar mai tha
Meri manzilon se zara prey
Teri justajo ke hisaar se
Tere khawab tere khayal se
Main wo shakhs tha jo khara raha
Teri chahton se zara prey
Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo b dabi dabi
Mere lafz poory to thay magar
Teri sma’aton se zara prey
To chala gya mere humsafar
Zara dekh mur k to ik nazar
Meri kashtiyan hain jali huwi
Tere sahilon se zara prey
Similar SMS:
- Sada Muuskurate raha Karo
- Jub teri dhun main jiya kertay thay
- mere hamsafar
- Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga…
- Tere qareb aa kay bari uljhano main hon