Muhbat hum say karni hai
posted in Ghazal SMS |
Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna,
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna,
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina,
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain
Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna,
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain
Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna,
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain
Similar SMS:
- Tujhko na aain mohabbatain karni
- Yad aon to bas ….
- Wafa ruswa nahi karna…
- Juda honay se darta hoon
- Wastay nahi chaltay