You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Tujhko na aain mohabbatain karni
Tujhko na aain mohabbatain karni
Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni
'Faraz' tujhko na aain mohabbatain karni
Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa'atain karni
Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni
Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni
Hum apnay dil se hain majbuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamatain karni
Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni
Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Humiin ko raas na aain mohabbatain karni
Kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni
Related SMS
- Muhbat hum say karni hai
- Hum nazuk nazuk dil waley
- Apnay aamal ka Hasib
- Kisi ke naam se pahle
- Apni Manzil Pe Pohanchna
- Yad aon to bas ....
- Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
- MUJHE TUM SE BATIEN KRNI HAI
- Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
- Unki tasveer ko seenay se laga lete hain
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
- Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
- Kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye
- Aatay nahi loat k beetay howe zamanay
- Bohat Asaan Lagta Hay
- Aisa kabhi na karna
- Kabhi dil pe madhoshi chayee na thi
- Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain
- Kab kaun kisi ka hota hai
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Lahroon say pani ko hataya nahin jaata
- Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
- Kaisay kahon k apna bana lo mujhey
- Kisi ko hisaab dayna hai.
- Per dost to hamesha dil k qarib rahenge
- Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib
- Kion Ghareeb Samjhte Hain ??
- TUMHAARI YAAD KAY JAB ZAKHAM BHARNAY LAGTAY HAIN
- Hum se log hain naraz kis liye
- kahin tanha na kar de...
- Kaash k Duniya aisi ho…..
- Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay
- apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna, ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna, ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina, ye […]
Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain, Kabhi mehfil mehfil phirtey hain, Kabhi zaat mein gum ho jatey hain, Kabhi chup ki mohar sajatey hain, Kabhi geet labon par atey hain, Kabhi sab ka dil behlatey hain, Kabhi khud tanha ho jate hain, Kabhi shab […]
Kisi ko apnay aamal ka Hasib kiye datay hain Sawal saray ghalat thay Jawab kiye detay hain
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle hui hai […]
Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moa'jzey Se Kam Nahi 'Faraz' Raah-Guzar Pathar K Hain Aur Hum-Safar Seeshey Ka ... !!!
Yad aon to bas itni si inayat karna, Apnay badlay howay lahjay ki wazahat karna, Tum to chahat ka shahkar howa karte they, Kis se seekha ulfat main milawat karna, Hum sazaon k haqdar baney hain kab se? Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna? Teri furqat main ye ankhain ab tak nam […]
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay Daikh laitay hain chalo hosla apnay […]
Kabhi aajao tum pal bhar ko, Mujhe tum se batien krni hain, Kuch ghum k geet sunanay hain, Kuch raaz hain jo batlanay hain, Kuch dil ko b batlana hai, Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain, Kuch dil se yaadain dhoni hain, Kuch naatay nai bnanay hain, Jo sher likhay hain teri furqat mein, Kuch […]
Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
Unki tasveer ko seenay se laga lete hain, is tarah judai ka gham mita lete hain, kisi tara kabhi unka ziker ho jaye to, bheegi palko ko juka lete hain..
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhi ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha'aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun […]
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye […]
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen, Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye, Bay panah pyaar kehtay hain usey, Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay Kaash aisi koi rut koi moosam aaye khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia […]
Kabhi Teri Rafaaqat Sey Nikalna Hi Nahin Mumkin Kabhi Daaman Chura Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Tum Roth'tey Ho To Ajab Mushkil C Parrti Hay Kabhi Tujhko Mana Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Samjha Karo Kuch Faisley Halaat Kartey Hain Kabhi Waaday Nibha Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Kuch Din Tumharey Bin […]
Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna, Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna, Main poch poch haron, so so sawal kar k, Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna, Main kisi roz tum ko sada dun, Aur tum na aao, aisa kabhi na karna, Tum chaley jao jab bhi […]
Pehle kabhi ye yaden ye tanhai na thi, Kabhi dil pe madhoshi chayee na thi, Jane kia asar ker gaye "apki" batain, Warna is tarah kabhi yad kisi ki aye na thi
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi, Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain, Ho na jayai kahin un ka dedar hamain, Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain, Na koi dost na sathi jub apnay […]
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain... Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain... Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain... I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain... Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate […]
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata, Lahroon say pani ko hataya nahin jaata, Bananay walay ban jatay hain apnay, Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass […]
Kaisay kahon k apna bana lo mujhey, Bahoun main apni sama lo mujhey, Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin, Tum aa ker mujh se chura lo mujhey, Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray, Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey, Mere sab se gehri Khuwahish ho puri, Tum agar pas apnay […]
Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein Khari […]
Din beet jatey hain suhani yadain ban kar, Batein reh jati hain kahani ban kar, Per dost to hamesha dil k qarib rahenge, Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..
Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib Nahin milta to guzra hoa pal nahin milta Kartey rahen ge younhi sairab zameenen In aansoon ko ab koi aanchal nahin milta Ghurbat mein mayyasar kahan khushion ki dilbari Sehra mein kisi ko kabhi baadal nahin milta Kahney ko gham khowar-o-chara saaz hain bohat Amlann kisi ke […]
Kion Ghareb Samjhte Hain Hame Ye Dunia Wale Faraz???? HArzar Dard Ki Dolat Se Mala Maal Hain Hum!!!!!
Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan Toh chashm-e-subah mai ansoo […]
Dil se teri yad ko juda to nahi kia, Rakha jo tujhe yaad, bura to nahi kia, Hum se log hain naraz kis liye, Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia
Kahin tanha na kar dey tujhe munfarid rehne ka shok FARAZ... jab din dhalay to kisi se haal-e-dil keh diya kar.
Koi dukh na ho koi ghum na ho, Koi aankh kabhi num na ho, Koi dil kisi ka tore na, Koi sath kisi ka chore na, Bas piyar ki nadiyan behti ho, Kaash k Duniya aisi ho€¦..
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay, Mohabbat to mohabbat hai, Bari anmol hoti hai, Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay, Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena, Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise apani talaash mein to ham hi ham hain dosto sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai duniyaa main aise log bahut kam hain dosto