Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey