Uljhay howay din raat
posted in Ghazal SMS |
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ….!
Similar SMS:
- Bikhri ankhon sey moti hum piro na sakey
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Jisne humko chaha, use hum chah na sakey
- Merey sabar ka na ley Imtehaan
- Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho