You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Khuwab ab raat bhar nahin aatay
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
Dost dushman nazar nahin atay
Ab to pather bhi ghar nahin atay
Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay
Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay
Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
Related SMS
- Raat ko raat ka tohfa nahin dete
- Neend mujhey raat bhar aati hai kam
- Din nikalta nahi or raat nahin hoti
- Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
- Mujhey tum yaad aatay ho
- Thoray say andhairay say raat nahin hoti
- Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain
- Wo khuwab tha bikhar gaya
- Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka
- Na neend ayai na khuwab koi
- Aatay nahi loat k beetay howe zamanay
- Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
- ta'ajub hay maut per uski koi roya tuk nahin
- Jo meri aankhon se Khuwab dekho
- Aankhain Khuwab Dekhti Hain
- Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
- Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai
- Meri taqdeer meray saath nahin
- 1 khuwab ,1 pyar ,1 haqiqat ho tum.
- meri wafa ka un per koi asar nahin hai
- Raat Se Dar Lagta Hai...
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai.
- Tu qasam say umer bhar muskurao gay
- Jagti aankho me ek khuwab aaya,
- Koi mousam bhi hum ko raas nahin
- Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta
- Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte
- Pyar to pal bhar main ho jaata hay
- aapki umar bhar ki dosti mangte hain
- Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
Raat ko raat ka tohfa nahin dete, dil ko jazbat ka tohfa nahin dete, hum to tumhe chand bhi de dete, lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.
Neend mujhey raat bhar aati hai kam , Shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti, Din nikalta nahi or raat nahin hoti, Na khafa howa karay wo usay kehna, Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai, Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai. Apni yadon sey keho ki yun na sataya karain, Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per, udasi k kinaron per, kabhe veran shehraon per, kabhe sunsan rahon per, kabhi hairon ankhon main, kabhi bayjan lamhon main, tumhari yad chupkay say, koi sargoshi kerti hay, yeh palkain bheeg jati hain, do ansu tot girtay hain, main palkon ko jhukata hon, bazahir muskurata hon, faqat […]
Chahne say har baat puri nahi hoti, Thoray say andhairay say raat nahi hoti, Jo pasand hai sab say zyada, Unse kambakht mulakat nahi hoti.
Muskuratay hoi ankhon main sanam aatay hain, Aap kia janain kahan say mere gham aatay hain, Aap ko hum say pyar main shikayat kia ho gi, Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain...
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab […]
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay […]
Bohat khushnuma kal ki raat guzri hai, Kuch tanha, per kuch khaas guzri hai, Na neend ayai na khuwab koi, Bus aap hi k khayalon k saath guzri hai,
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay Kaash aisi koi rut koi moosam aaye khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia […]
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay […]
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin ta'ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin, sahil se to chale the sath me hamsafar banker sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin, ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen, tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya […]
Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay K Laakh Chaho Na Hans sako gay Hazaar chaho na Ro Sako gay' K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh Mere Dukhon ki kitaab hain yeh Rifaqatain In main Chotti hain Mohabbatain in main Roothti hain Pinapti Hain In main Vahshatain […]
Aankhain khuab dekhti hain Kisi say mil janey ka Ya khud ko kho denay ka Tanha reh janay ka Khud ko aar denay ka, Chahat haar denay ka Aankhain khuab dekhti hain Bichray huye lamhon ka Kisi raastay per mil janay ka Zakhmon kay sil janey ka Zamanay kay guzer janay ka Khuab kay hasil […]
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin. lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin. dil ki zameen us ki hai banjar issi liye jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin. her cheez ikhtiar main rakhta […]
Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai Tumhaari in ankho mai sada ke liye bas jana chahty hai Chahty is dil ki, na jaane humse kaya kaya chahati hai Najar bhar tumhe dekh kar, Tum per mar jana chahty hai!!!!
Sapnay ki tarha tujhey saja k rakhon, Chandni raat ki nazron se chupa k rakhon Meri taqdeer meray saath nahin, warna zindagi bhar tujhay apna bana k rakhon
1 khuwab ,1 pyar ,1 haqiqat ho tum . Dosti me parnay wali har zaroorat ho tum. Jisko rooz itne SMS karnepade, woh musibat ho tum.
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai un ka salook dekh ker hairat zada hai dil k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai... Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai... Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye... Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai... Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo... Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta […]
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai. Jiyo apni zindagi aise, jaise ji raha gulab hai. Reh kar sath aap kaanto k bhi, muskurao hamesha jaise muskurata gulab hai.
Yun ainon say kab tak dil behlao gay, Jab andhera hoga khud ko tanha paogay, Hum jesa koi dost rahey agar tumhare sath, Tu qasam say umer bhar muskurao gay..
Jagti aankho me ek khuwab aaya, koi humdard hai mera yeh khayal aaya. chot lagi dil pe toh dhiyaan aaya, kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.
Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin aik muddat say dil k paas hay woh aik muddat say dil udas nahin jub say daikha hay shaam aankhon mein tub say meray qayaim hawas nahin meray lehjay mein us ki khushbo hay us ki baaton mein meri baas […]
Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta, Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta, Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay, yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.
Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte, Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte, Ek baar yun kisi ko keh ker apna, Daman phir uss se churaya nahi karte, Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne […]
Kisi ko apna bananay main dair lagti hay, Aik wada nibhanay main dair lagti hay, Pyar to pal bhar main ho jaata hay, Magar usay bhulanay main dai lagti hay....
Rab se aapki khushi mangte hain, duaon me aapki hansi mangte hain, sochte hain kya mangen aapse chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain
Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain kuch dost pal-pal yad aatey hain hum apse yahi puchna chahte hain k dosto ki is qataar me hum kahan aatey hain
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary […]