Koi mousam bhi hum ko raas nahin
posted in Ghazal SMS |
Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin
aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin
jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin
meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin
Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin
samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin
jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin
Similar SMS / Text messages
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
- Acha wohe raha jo in ko nibha gaya
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
- Aik pyari si larki hay wo
- Haath us ney Mera Thama Ho ga

(3 votes, average: 4.67 out of 5)