You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Dil main koi malal bhi nahin
Dil main koi malal bhi nahin
Dil main koi malal bhi nahin,
Us se koi gila nahin, jo sath day k bhi sath nahin,
Us ki khushion ki mangi hai dua,
Yeh alag bat hay k meri zindagi us ka sawal hai k nahin
Related SMS
- Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta
- Totay howay paimanay main jaam nahin aata
- Shayari main dimagh nahin dil zarori hay
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- meri wafa ka un per koi asar nahin hai
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Hum aap ko kabhi khoney nahin denge
- ta'ajub hay maut per uski koi roya tuk nahin
- Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
- Koi mousam bhi hum ko raas nahin
- Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
- Din nikalta nahi or raat nahin hoti
- Meri taqdeer meray saath nahin
- Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahin SAAQI,
- Aap apnay qareeb aanay nahin daitay
- Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka
- Lahroon say pani ko hataya nahin jaata
- Main Roi To Nahi Hoon......
- Zindagi nahin hamain doston say pyari
- Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
- Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
- Khuwab ab raat bhar nahin aatay
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Dabbay main dabba dabay main khargosh
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
- durr kahin wadi main rahta hai woh!
- Har baat ka jawab inkar nahin hota
- Waqt-e-dua main ek dua karon
- Paas aa ker bhi apni manzil paa nahin saktay.
- Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay
- Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi
- Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay
- Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta, Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta, Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay, yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.
Totay howay paimanay main jaam nahin aata, Ishq k mareez ko araam nahin aata, Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota, Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Shayari main dimagh nahin dil zarori hay, Kuch jigar ka khoon ho shamil zarori hay, Sirf lafzon ki tukbundi shayari nahin hoti, Shair ho dil pay lagnay k qabil zarori hay...
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai un ka salook dekh ker hairat zada hai dil k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge, Juda hona chaha to bhi hone nahin denge, Chandni raton mein aye gi meri yaad, Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin ta'ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin, sahil se to chale the sath me hamsafar banker sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin, ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen, tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya […]
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta […]
Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin aik muddat say dil k paas hay woh aik muddat say dil udas nahin jub say daikha hay shaam aankhon mein tub say meray qayaim hawas nahin meray lehjay mein us ki khushbo hay us ki baaton mein meri baas […]
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin. lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin. dil ki zameen us ki hai banjar issi liye jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin. her cheez ikhtiar main rakhta […]
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti, Din nikalta nahi or raat nahin hoti, Na khafa howa karay wo usay kehna, Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Sapnay ki tarha tujhey saja k rakhon, Chandni raat ki nazron se chupa k rakhon Meri taqdeer meray saath nahin, warna zindagi bhar tujhay apna bana k rakhon
Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon..! Isi Lagan Mein Kayi Shaamein Guzaar Deta Hoon..! Main Yunhi Her Aik Se Be-Rabt Nahin Milta, Her Aik Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon..! Main Gham Ki Kashti Ko Dabona Nahin Chaahta, Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon..! Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta […]
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay, Khud ko seenay say laganay nahin daitay, Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay, magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay, aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil, Rooth'tay hain to phir mananay nahin daitay.
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay […]
Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata, Lahroon say pani ko hataya nahin jaata, Bananay walay ban jatay hain apnay, Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata
Main Roi To Nahi Hoon...... Najaney Kiyoon Mera Kajal Jab Bhi Dalo Ankhon Main Ab Aksar Phail Jata Hai Tum To Jantey Ho In Dino Bohat Hi Thand Hoti Hai Tab Hi Hai Surkh Meri Naak Main Roi To Nahi Hoon...... Kaha To Hai Yunhi Buss Bheega Hai Aanchal Ka Kona Choro Tum Fiker Mat […]
Zindagi nahin hamain doston say pyari, Doston pay hazir hay jaan hammari, Ankhon main hamaray ansu hain to kia, Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin, In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin, Agar yaad rakhna fitrat hai aapki, Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay […]
Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay, Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab […]
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
Dabbay main dabba dabay main khargosh, Uncle nay aankh mari aunty bay-hosh...;):D:D
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary […]
durr kahin wadi main rahta hai woh! har lamha khayal main rahta hai woh! kaisa hai woh kis haal main hai woh! dil kay har sawal main rahta hai woh!
Har baat ka jawab inkar nahin hota Har jaga rukna intazar nahin hota Yun to milti hein hazaron se nazrein Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Waqt-e-dua main ek dua karon, main rab se ek eltija karon, tu khush rahe, tu shaad rahe, teray dil ka angar abaad rahay, tu har pal yun hi hansa kare, tu phulon ki manind khila kare, teri zindagi main koi ghum na ho, teri aankh kabhi num na ho, tujhey kisi se koi gila na […]
Door reh ker bhi hum unko bhula nahin saktay, Paas aa ker bhi apni manzil paa nahin saktay, Ek faasla hum ko bana ker rakhna hai apni mohabbat me, Kia hai majboori humari yeh bhi bata nahin saktay!
Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay, Yeh hadsay woh hain jo samjhaye nahin jatay, Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad, Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay...
Thukra k usne mujhko kaha muskura do, Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha.. Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi, Usne khoya woh jo sirf usi ka tha.....!
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay, Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay, Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay, Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay....
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata, Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata, Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se, Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...