You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Aap apnay qareeb aanay nahin daitay
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth'tay hain to phir mananay nahin daitay.
Related SMS
- Mehfil ko rula daitay
- Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Apnay aamal ka Hasib
- Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
- Koi mousam bhi hum ko raas nahin
- Ek terey aanay say pehlay aik teray janay k baad
- Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay
- Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
- Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
- Har baat ka jawab inkar nahin hota
- Zindagi nahin hamain doston say pyari
- Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
- Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka
- Mujhey ab bhi umeed hay uskay aanay ki
- Zamane se nahin hum tanhai se darte hain
- Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
- Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
- Lahroon say pani ko hataya nahin jaata
- Aaj Tak Nahin Kaha Aapse
- Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay
- Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
- Dil main koi malal bhi nahin
- meri wafa ka un per koi asar nahin hai
- ta'ajub hay maut per uski koi roya tuk nahin
- Din nikalta nahi or raat nahin hoti
- Paas aa ker bhi apni manzil paa nahin saktay.
- Hum aap ko kabhi khoney nahin denge
- Totay howay paimanay main jaam nahin aata
- Khuwab ab raat bhar nahin aatay
- Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta
- Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay
Dil ka dard dil main dabaye rakha, Koi na mila aisa jis pay duniya luta daitay, Sab nay diya dhooka kis kis ko bhula daite, Dil ka dard dil main dabaye rakha, Bayan kia hota to mehfil ko rula daitay
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata, Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata, Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se, Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
Kisi ko apnay aamal ka Hasib kiye datay hain Sawal saray ghalat thay Jawab kiye detay hain
Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon ghar main hain filhal jitne bhi purane jote aap bhi jake badal lain main badal aya hoon
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary […]
Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin aik muddat say dil k paas hay woh aik muddat say dil udas nahin jub say daikha hay shaam aankhon mein tub say meray qayaim hawas nahin meray lehjay mein us ki khushbo hay us ki baaton mein meri baas […]
La pila day saqi paymana paimanay k baad, Host ki batain karonga hosh main aanay k baad, Waqt do hi zindagi main guzray hain kathin, Ek terey aanay say pehlay aik teray janay k baad
Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay, Deewanay dil pay qabu hum, paa na sakay, Aaj itnay qarib say guzar gayai woh, Phir bhi unka haath hum thaam na sakay...
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay Daikh laitay hain chalo hosla apnay […]
Hum woh phool hain jo roz roz nahi khiltay, Yeh wo hont hain jo kabhi nahin siltay, Hum se bichro ge to ehsas hoga tumhain, Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
Har baat ka jawab inkar nahin hota Har jaga rukna intazar nahin hota Yun to milti hein hazaron se nazrein Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Zindagi nahin hamain doston say pyari, Doston pay hazir hay jaan hammari, Ankhon main hamaray ansu hain to kia, Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin, In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin, Agar yaad rakhna fitrat hai aapki, Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay […]
Kafan na dalo mere chehre pay, Mujhe aadat hay muskurane ki. Na dafnao meri laash ko, Mujhe ab bhi umeed hay uskay aanay Ki.
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain, Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain, Dil mein umang hai tujhse milne ki, Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin. lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin. dil ki zameen us ki hai banjar issi liye jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin. her cheez ikhtiar main rakhta […]
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay […]
Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata, Lahroon say pani ko hataya nahin jaata, Bananay walay ban jatay hain apnay, Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata
Teri Tishnagi Mein Choor Hain Hum, Aaj Tak Nahin Kaha Aapse To Ye Mat Samajhna Maghroor Hain Hum, Ho Na Jao Aap Door Humse Bas Isi Baat Ko Lekar Majboor Hain Hum
Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay, Yeh hadsay woh hain jo samjhaye nahin jatay, Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad, Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay...
Har jaga baithna intizar nahi hota, Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota, Nazrain to har aik say milti hain, Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
Dil main koi malal bhi nahin, Us se koi gila nahin, jo sath day k bhi sath nahin, Us ki khushion ki mangi hai dua, Yeh alag bat hay k meri zindagi us ka sawal hai k nahin
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai un ka salook dekh ker hairat zada hai dil k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin ta'ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin, sahil se to chale the sath me hamsafar banker sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin, ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen, tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya […]
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti, Din nikalta nahi or raat nahin hoti, Na khafa howa karay wo usay kehna, Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Door reh ker bhi hum unko bhula nahin saktay, Paas aa ker bhi apni manzil paa nahin saktay, Ek faasla hum ko bana ker rakhna hai apni mohabbat me, Kia hai majboori humari yeh bhi bata nahin saktay!
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge, Juda hona chaha to bhi hone nahin denge, Chandni raton mein aye gi meri yaad, Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
Totay howay paimanay main jaam nahin aata, Ishq k mareez ko araam nahin aata, Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota, Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay, Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab […]
Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta, Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta, Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay, yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay, Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay, Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay, Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay....