SMS4Smile.com

Latest SMS / text messages & jokes [Love / Funny / good night / good morning / romantic / birthday & adult]

Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

posted in Ghazal SMS |

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
 
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
 
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
 
Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
 
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Similar SMS:

  1. Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k...
  2. ik bar mujh say door ja k daikh kabhi behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi...
  3. Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main Woh apna aks chore gayi mere...
  4. Aur mujh hi say daman chura to na lo gay Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo...
  5. Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar...
  6. Koi mujh ko….. koi mujh ko mera bharpur sarapa la de meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de naya...
  7. Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi … “Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi … Laakh koshish ki magar...
  8. Tere qareb aa kay bari uljhano main hon Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon main hon k tere doston...
  9. Wo phir se mil gaya to phir…? Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta...
  10. ACHA LAGTA HAI Hu to khafa us se, Per jane phir bhi kyo, Na chah kr bhi usko...