SMS4Smile.com

Latest SMS / text messages & jokes [Love / Funny / good night / good morning / romantic / birthday & adult]

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do

posted in Ghazal SMS |

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do

Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay

Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein

Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo

K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do

Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo

Similar SMS:

  1. Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch...
  2. Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil...
  3. Iss baar kuch aisa mein chahta hoon Iss baar kuch aisa mein chahta hoon Tum ko apna banaana chahta hoon Bhula kar...
  4. Kuch door hamare saath chalo Kuch door hamare saath chalo Hum dil ki kahani kehdein ge Samjhe na tum jisse...
  5. Ujalay apni yaadon k…… humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam...
  6. Kuch log bohut yaad aate hain Jub yad ka album kholon to, Kuch log bohut yad ate hain, Main guzre dinon...
  7. kuch dil ki laghi Kuch Dil Ki Lagi Tum Chero, Kuch Dil Lagana Hum Sikhayen.. Kuch Pyar Ki Baatein...
  8. Mil jae gy ek din hum kuch is tarhan Tairi judae mai hoe jo halat to daikho Raton ko nend na ae kuch to...
  9. Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib Nahin milta to guzra hoa pal nahin...
  10. Abhi kuch dair baqi hai…!! Abhi kuch dair baqi hai…!! Khizan k beet janay main, Guloun k Muskuranay main, Khushi...