Apna Ehsas mar na jaye kahin
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin
Similar SMS:
- Muskaan tere hothon se kahin jaye na Muskaan tere hothon se kahin jaye na, Aansu teri palkon pe kabhi aaye na, Poora...
- Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye, hamse koi rusva na ho jaye,...
- Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye k hum jise yaad karain usey...
- kahin tanha na kar de... Kahin tanha na kar dey tujhe munfarid rehne ka shok FARAZ... jab din dhalay to...
- Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye...
- durr kahin wadi main rahta hai woh! durr kahin wadi main rahta hai woh! har lamha khayal main rahta hai woh! kaisa...
- Tu He Mil Jaye Tu he mil jaye mujhe ye he kaafi hai, Meri har saans ne ye hi...
- Waqt apna mujhy sara day do Mujhy jeenay ki umeed dobara day do, Meri doobti kashti ki kinara dy do, Main...
- Kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen, Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban...
- Main hamesha aap k liye eik ehsas hon Udaas na hona kion k main sath hon, Samnay na sahi per aas paas hoon,...
- Har aahat ehsas hamara Dilaegi Har aahat ehsas hamara Dilaegi, har hawa qissa hamara sunaegi, Hum itni yaade bhar denge...
- Kaisay kahon k apna bana lo mujhey Kaisay kahon k apna bana lo mujhey, Bahoun main apni sama lo mujhey, Bin tumharay...
