Aankhon aankhon main
posted in Ghazal SMS |
Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main
Similar SMS:
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya
- Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
- Kisne meri kabar par aake diya jala diya
- Aaj dareechay main woh aana bhool gaya