Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal
posted in Ghazal SMS |
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.
baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.
jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.
aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,
umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
Similar SMS:
- Mujeh Ye Zid nahi mere Galay ka Haar ho jao
- mere hamsafar
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
- Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
- Tumhara chand sa chehra..