Poetry SMS / Text Messages

Khuda nay dost ko dost say milaya.
Doston k liye dosti ka rishta banaya.
Par khuda nay farmaya,
dosti rahegi uski kayam
jisne dosti ko dil say nibhaya.

Paani k bulbule sa hai mera pyar

Mere pyaar ka hisaab jo lagao gi,
To mere pyar ko bay hisaab pao gi,

Paani k bulbule sa hai mera pyar,
Zara si thees lagi to dhundte reh jao gi.

To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.

Jab koi khayal dil se takrata hai,
Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai,

Koi sab kuch keh ker dosti jatata hai,
To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.

Mohabbat hum bhi kertay hain

Mohabbat hum bhi kertay hain magar shikwa nahi kertay
hum apni mohabbat ko yun ruswa nahi kertay
jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain
jo uth ker chala jaye usey roka nahi kertay

Hum khud pe gharur nahi kertay

Hum khud pe gharur nahi kertay,
Kisi ko dosti kerny py majbor nahin kertay,

Magar jisy ek bar dil mein basa lein,
Usay martay dum tak dil say door nahin kertay,

Dosti ke waaday ko yuhi nibhatay rahengay,

Dosti ke waaday ko yuhi nibhatay rahengay,
HUM har waqt APKO satate-mnaate rahengay.
Mar bhi jayein to kya gham hai
HUM AANSU bankar aapki ankhon me ate rahengay.

Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay

Hum woh phool hain jo roz roz nahi khiltay,
Yeh wo hont hain jo kabhi nahin siltay,

Hum se bichro ge to ehsas hoga tumhain,
Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay

Dosti kisi ki riasat nahi hoti

Dosti kisi ki riasat nahi hoti,
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,

Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna,
Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti

Jo judai mile to woh hai ghum

Jo judai mile to woh hai ghum,
Jo dair se mile to woh hai paisa,
Jo kisi kisi ko mile woh hai pyar,
Jo qismat se mile woh hain AAP

Hamare Anso Pocch

Humare Anso Pooch Kar Wo Muskurate Hain
Esi Ada Se Wo Dil Ko Churate Hain
Hath Unka Chu Jaye Humare Chehre Ko
Isi Umeed M Hum khud ko Rulate Hain.