You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Zindagi dene vale marta chod gye,
Zindagi dene vale marta chod gye,






Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jitane vale tanha chod gye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye ...
Related SMS
- Hum pe marta kaun hai?
- Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.
- Zindagi jee ker kia karain
- Mansoob thay jo loog meri zindagi k saath
- Kuchh adhuri khuwahishon ka silsila hai zindagi
- Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai
- Zindagi mohtaj nahi manzilon ki
- Hum zindagi bher k liyay soo jayenge
- Saath chalne main jo maza hota
- Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi
- Zindagi ko ek rangin kalpana samjho
- Aana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja
- Hasna zindagi ki zarorut hai
- Woh zindagi kia jis main pyar na ho
- Hans kar gum bholana zindagi hai
- Zindagi kehta hai mujhey...
- Ghum rahega ke zindagi kam hai
- Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar
- Zindagi zakhmo se bhari hai
- Sooni zindagi me halchal mehsoos hui
- Kabhi zindagi sey gilla ker k roye
- Bin tery meri zindagi baynaam si
- Tujh bin zindagi ka tasawar hi nahi hai
- Zindagi aap jaisay doston ki amanat hai
- mere zindagi kya dosra naam hoo tum,
- Zindagi chahiye mohabbat main
- Zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai
- Zindagi ki raho pe jab aage jaoge
- Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa
- Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
- Meri zindagi per faqat itna ehsan ker do
- Zindagi kisi ki amanat nahi hoti
- Zindagi nahin hamain doston say pyari
Pyar me maut se darta kaun hai Pyar ho jaata hai karta kaun hai Aap jaise yar par dunia qurban Aur aap puchte ho k, hum pe marta kaun hai?
Woh Jo Badli To Rubaro Badal Gaye Hum Bhi. Mohabbat Ki Thi Usey Bandagi To Nahi.. Faqt Zindagi To Hai Kat Jaye Gi Us k bagher.. Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.
Lay k hum dosron ki hansi kia karain jo apni nahin woh khushi kia karain Tanha jeenay say behtar hay mar jayain hum, Jub saath tum nahin to zindagi jee ker kia karain
Mansob thay jo log meri zindagi k sath Akser woh milay bari bayrukhi k sath Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay Aey dost youn na khail meri bay basi k sath Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log Itna Bura salook meri saadgi k saath.
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi ! Zinda Hun doston ki […]
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai, Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai, Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi, Hume har kadam per aapki zarurat hai.
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki, Waqt har manzil dikha deta hai. Marta nahi koi kisi se juda hoke, Waqt sabko jina sikha deta hai.
Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum, Sirf tumhare khuwaboon main hi aayenge, Koi keh day unse k wo wada kar lay, Hum Zindgi bher k liye soo jayenge.
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar […]
Sahil per khare khare humne shaam kardi, Apna dil or duniya aap k naam kar di, Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi, Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di
Zindagi ko ek rangin kalpana samjho, Subah ko sach raat ko sapna samjho, Bhulana chahte ho sabhi ghamon ko to, Zindagi main mujhe apna samjho..
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja, jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
Zindagi me her dum hastey raho, Hasna zindagi ki zarorut hai, Zindagi ko is andaz mei jiyo k, Aap ko dekh ker log kahen "wo dekho" zindagi kitni khubsoorut hai
Woh zindagi kia jis main pyar na ho, Woh pyar hi kia jis main yadain na hon, Woh yadain hi kia kis main tum na ho, Woh tum hi kia jis main hum na hon,
Hasna zindagi hai, has kar gum bholana zindagi hai, jeet kar hanse to kya hanse, haar kar khushiyan manaana zindagi hai
Zindagi kehta hai mujhey Mera chahne wala . . . Kya usay Mera aitbaar nahi hai . . . (KIRAN ASGHAR)
Chiraaghon ko aur teez kar lo, Kyun ki roshini kam hai, Tamaam umar kar lenge intzaar tera, phir bhi ghum rahega ke zindagi kam hai.
Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar, Mein Zinda rahu yeh dua naa kar, Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan, Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.
Zindagi zakhmo se bhari hai, waqt ko marham banaana seekhlo! Haarna to hai hi maut ke saamnay, filhaal zindagi se jeetna seekh lo!
Sooni zindagi me halchal mehsoos hui, bejan dil me dharkan mehsos hui, janey kion aaj aisa laga, shayad tumhari kami mehsoos hui.
Kabhi zindagi sey gilla ker k roye, Kabhi mout ki hum dua ker k roye, Ajab silsila haiNamaz-e-Mohabbat ka, Qaza ker k bhi roye,ada ker k bhi roye
Mery wajood se lipti khushbo tere naam ki hai Meray dil me basi her ek dharken tery naam ki hai Itna yaqeen ker lay meray hamnasheen Bin tery meri zindagi baynaam si hai
Tujh bin zindagi ka tasawar hi nahi hai , Tere sang ho zindagi aisa bhi koi scene nahi hai, Iss dunya mein, tum he sab say haseen ho mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho
Dil ki hasti bikhar gayai hoti, Aur rooh k zakham bhar gayai hotay, Zindagi aap jaisay doston ki amanat hai, Warna hum tou kab k mar gayai hotay...
mere zindagi kya dosra naam hoo tum, hum tere dil me rahe ge ek yaad bankar , tere laab pe khilenge muskan ban kar , kabhi apne se juda maat samaj na , hum tera saat chale ge asman ban kar.
Zindagi chahiye mohabbat main, ye ghari doo ghari ki baat nahi,, aap say koi bhi nahi pehlay‚¦ aap k baad koi zaat nahi‚¦.!!
Tum bin zindagi sooni si lagti hai, Har pal adhoori si lagti hai, Ab to in sansoon ko apni sansoon se jor do, Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai.
Zindagi ki raho pe jab aage jaoge, Peeche ek saya tum hardam paoge, Mud k dekhoge to tanhai hogi, Agar mahsoos karoge to humko paoge.
Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa, Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day, Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay, Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,
phool ban ker muskurana zindagi hay Musura k ghum bhulana zindagi hay, Mil ker log khush hotay hain to kia howa Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Meri zindagi per faqat itna ehsan ker do, Ik benam si mohabbat mere naam kerdo, Ik subha ko milo aur shaam kerdo, Aur sham tak mere ghar ka sara kam kerdo,
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Amanat main kabhi kayamat nahi hoti, Dil ko sambhal kar rakhna, Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.
Zindagi nahin hamain doston say pyari, Doston pay hazir hay jaan hammari, Ankhon main hamaray ansu hain to kia, Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..