You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
phool ban ker muskurana zindagi hay
Musura k ghum bhulana zindagi hay,
Mil ker log khush hotay hain to kia howa
Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Related SMS
- Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
- Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai
- Tere bina hum jeena bhool jate hain
- Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay
- Bina uske na ji payenge hum
- Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
- Tera bina adhuray
- Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.
- Dil ke armano ki manzil hai teri dosti
- Bina dant wala kutta katay to ?
- Mansoob thay jo loog meri zindagi k saath
- Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain
- Tu zindagi main sabse azeez hai hamain
- Zindagi aap jaisay doston ki amanat hai
- Bolti hai dosti chup rehta hai pyar
- Jo bina dil walon se dil laga baithey
- Zindagi ko ek rangin kalpana samjho
- kehte hain uss daur ko dosti
- Yahi to khubsurt dosti ka nata hai
- Dosti dil hay demagh nahi,
- Dosti is something that no1 can hate
- Ghum rahega ke zindagi kam hai
- aapki umar bhar ki dosti mangte hain
- Kya khabar tum ko dosti kya hai
- Dosti kisi ki riasat nahi hoti
- dosti ko dil say nibhaya
- Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi
- Dosti ghazal hey gungunanay k liye
- DOSTI - kaho to sirf 2 lafz
- Yaad rakh ker meri dosti ko tumne
- Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai
- Dosti ki wajah nahin hoti
- Hasna zindagi ki zarorut hai
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata, Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata, Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se, Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai Tumhaari in ankho mai sada ke liye bas jana chahty hai Chahty is dil ki, na jaane humse kaya kaya chahati hai Najar bhar tumhe dekh kar, Tum per mar jana chahty hai!!!!
Tere bina hum jeena bhool jate hain, Zakhmon ko seena bhool jate hain, Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain, Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain.
In ankhon main aansu ayai na hotay, Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay, Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay, Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay....
Bina uske na ji payenge hum, uski parchai ban k zindagi bitayenge hum, dur jane ka mujhse sochna bhi mat, uske itna sochne se hi mar gaye hai hum.
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata, Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata, Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki, Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Tum mera aaj ho, tum mera kal, tujay yaad karthay hai har aik pal, jee nahe paiyain gay teray bina hum, teray bina reh jai gay adhuray hum.... I Miss you
Woh Jo Badli To Rubaro Badal Gaye Hum Bhi. Mohabbat Ki Thi Usey Bandagi To Nahi.. Faqt Zindagi To Hai Kat Jaye Gi Us k bagher.. Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti, Dil ke armano ki manzil hai teri dosti, Zindagi ban jaye jannat agar, Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti.
MUNNA BHAI: circuit agar bina daant wala kutta kate to kya karne ka re? CIRCUIT:simple he bhai, bina sui wala injection lene ka!!! ha ha ha
Mansob thay jo log meri zindagi k sath Akser woh milay bari bayrukhi k sath Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay Aey dost youn na khail meri bay basi k sath Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log Itna Bura salook meri saadgi k saath.
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain, Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain, Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech, Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.
Tere Bina hum jeena bhool jaate hain‚¦ Zakhmon ko seena bhool jate hain.. Tu zindagi main sabse azeez hai hamain.. Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.
Dil ki hasti bikhar gayai hoti, Aur rooh k zakham bhar gayai hotay, Zindagi aap jaisay doston ki amanat hai, Warna hum tou kab k mar gayai hotay...
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar, hasati hai dosti rulaata hai pyar, milati hai dosti judaa karta hai pyar, phir bhi kyun dosti chor kar log karte hain pyar
Anjanay mein hum apna dil gawan baithey is pyar mein kaisa dhoka kar baithey unse kya gila karain bhool hamari hi hai jo bina dil walon se dil laga baithey
Zindagi ko ek rangin kalpana samjho, Subah ko sach raat ko sapna samjho, Bhulana chahte ho sabhi ghamon ko to, Zindagi main mujhe apna samjho..
Kuch rishte anjaane mein ho jate hai pehle dil phir zindagi se jud jate hai kehte hain uss daur ko dosti jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Yahi to khubsurt dosti ka nata hai jo bina kisi shart ke jiya jata hai, rahe duriya darmya to parwa nahi, dost to harpal DIL me basaya jata hai.
Dosti dil hay demagh nahi, Dosti soch hai awaz nahi, Koi ankhon say nahin daikh sakta dosti ka rishta, Kion k, dosti ehsas hay andaaz nahi.
Dosti is something that no1 can hate, Dosti is a passion we can never rate; Dosti can happen anytime early or late, Dosti is only Medicine, without Expiry date.
Chiraaghon ko aur teez kar lo, Kyun ki roshini kam hai, Tamaam umar kar lenge intzaar tera, phir bhi ghum rahega ke zindagi kam hai.
Rab se aapki khushi mangte hain, duaon me aapki hansi mangte hain, sochte hain kya mangen aapse chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain
Kya khabar tum ko dosti kya hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon se bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ek heera bhi hai Dosti ek haseen khwab bhi hai Pass se dekho to sarab bhi hai Dukh milne pe yeh azaab bhi hai Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai Dosti yoon […]
Dosti kisi ki riasat nahi hoti, Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna, Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti
Khuda nay dost ko dost say milaya. Doston k liye dosti ka rishta banaya. Par khuda nay farmaya, dosti rahegi uski kayam jisne dosti ko dil say nibhaya.
Sahil per khare khare humne shaam kardi, Apna dil or duniya aap k naam kar di, Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi, Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di
Dosti ghazal hey gungunanay k liye, Dosti naghma hay sunanay k liye, Yeh woh jazba hay jo sub ko milta nahin, Kiyon k hosla chahiye dosti nibhanay k liye..
DOSTI -Kaho to do lafz, -Mano to bandgi, -Socho to gehra sagar, -Dubo to zindagi, -Karo to aasan, -Nibhao to muskil, -Bikhre to sara zamana, -Simte to Sirf Aap.
Yaad rakh ker meri dosti ko tumne, Meri zindagi per ehsan kar diya, Is mobile mein yeh last rupiya tha, Daikh wob bhi tere naam kar dia,
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai. Dosti mein duniya lakh baney rukavat, Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Dosti ki wajah nahin hoti, Dosti saza nahin hoti, Dosti me hoti he imandari, Dosti me duniadari nahi hoti, Dost jaan se pyara hota he, Dost se jaan pyari nahin hoti
Zindagi me her dum hastey raho, Hasna zindagi ki zarorut hai, Zindagi ko is andaz mei jiyo k, Aap ko dekh ker log kahen "wo dekho" zindagi kitni khubsoorut hai