Wo yar hamara kaisa hai ?

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?