Poetry SMS / Text Messages

Yaado main kabhi aap bhi khoye honge
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge
Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
Par haste haste kabhi aap bhi roye honge

us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari

us ne poocha kon ho tum main nay kaha hasrat tumhari
us ne kaha dekhtay kia ho main nay kaha soorat tumhari

us ne kaha karte ho kia main nay kaha ibadat tumhari
us ne kaha kafir ho kia main nay kaha ye hi sahi

us ne kaha chahtey ho kia main nay kaha muhabbat tumhari
us ne kaha pachtao gay main nay kaha qismat hamari

Aap k ho ker bhi aap sey door rahey

Tamaam umer zindagi sey door rahey,
Apki khushi k liye apni khushi se door rahe.

Ab is say barh ker wafa ki saza kya hogi,
k aap k ho ker bhi aap sey door rahey...!!!

Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai

Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,

Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai.

aapki umar bhar ki dosti mangte hain

Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,

sochte hain kya mangen aapse
chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain

Mere alfazon ko juth mat samajhna,

Mere alfazon ko juth mat samajhna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,

ji raha tha tumhare naam par,
mar jau toh bewafa mat samajhna

Collection of urdu poetry that is not just limited to funny poetry sms, friendship poetry, sad poetry, birthday poetry, free love poetry and much much more....

All poetry sms messages here are in urdu language, refering in roman urdu script, it would be as urdu shayari SMS, mazahiya shayari, dosti shayari, udas shayari, salgirah shayari, pyar / mohabbat ki shayari SMS.

Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..

Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,

Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..

Koi sub keh ker pyar jatata hay

Jub koi khayal dil say takrata hay,
Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,

Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay

Uski yaad her pal aa jaati hay...

Kion kisi ki khamoshi mujhey khamosh ker jati hay,
Kion uski udasi mujhey udas ker jati hay,

Kia rishta hay uska mera jo mujhey,
Uski yaad her pal aa jaati hay...

Mohabbat bhi kia cheez hay yaroo

Aansu aa jatay hain aankhon main,
Per labon pay hansi lani parti hay,

Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo,
Jis sey kertay ho usi say chupani parti hay