Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
posted in Ghazal SMS |
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!! !!
Similar SMS:
- Kisne meri kabar par aake diya jala diya
- Yaar nay dil ka haal batana chor diya
- Kya zamana tha hum roz mila karte thay
- Jis din se juda vo humse hue
- Roz gir jaati hai deewar tere wadon ki