You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan majar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Related SMS
- Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
- Meri saadgi mera jurm hay
- Kisne kaha judai hogi
- Shama kehti hai muje banaya kisne
- Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
- Gham ney hasney na diya
- us ne mehsoos bhi na honey diya
- Badi koshish k bad use bhula diya
- Ishq ne hume Rula Diya
- Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya
- Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya
- Yaar nay dil ka haal batana chor diya
- Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi
- Aik diya dil main jalana bhi, bujha bhi daina
- Hasta basta dil kar diya khali us nay
- Kaisa dard diya hay tumne
- Ek diya bhi jale door ki baat hai,
- Hum ne suboot diya apni Dosti ka
- Meri her khushi tere naam hogi
- Jahan meri aur USKI paheli mulakat thi
- Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee
- maine chaha use... kya yehi meri bhool thi
- Yaad rakh ker meri dosti ko tumne
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Aana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja
- K lab jab bhi kholta meri guftugu karta
- Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
- Meri chahtoun pe shikway
- Jo meri aankhon se Khuwab dekho
- Meri chahatain tumse alag kab hain
- Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri
- Meri hasrat k janazay ko....
- Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahin SAAQI,
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya Us Se […]
Yahan chahton ka sila nahi, yahan dosti ka maza nahi, yahan janay kesi hawa chali, Rahi dostoon main wafa nahi, yahan jal gaya mera aashiana, Abhi badlon ko pata nahi, Teray dar pe dastak de sakon, ye haq to tum ne dia nahi, Main raahi hon raah-e-umeed ka, Mujhay manzilon ka pata nahi, Be bas […]
Kisne kaha judai hogi, Kisi ghair ney yeh khabar urai hogi, Barey shaan sey rahenge hum aap k dil mein, Itne dino me kuch to jagah banai hogi..!
Shama kehti hai muje banaya kisne, jis jis ke hath lagi muje jalaya usne, wo shama kya jise koi jalane wala na ho, wo insan hi kya jise koi chahne wala na ho...
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya... us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.... lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan... chehra bata raha tha k kuch ganwa diya... aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi... or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya... […]
Gham ney hasney na diya, zamanay ney roney na diya, is uljhano ney jiney na diya, thak k jab sitaron sey panah li, neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
us ne mehsoos bhi na honey diya, yun kahani ka rukh moor diya, milney julney main ki kami pehley, phir rafta rafta hamein hi choor dya
Badi koshish k bad use bhula diya, uski yadon ko seenay say mita diya. 1 din phir uska paigham aya, likha tha mujhey bhul jao, aur mujhe bhula hua... ‚ har lamha yad dila diya.
Ishq ne hume Rula Diya Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya hum to unki yadon mein hi jee laitay, magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya, Mitti ke motioyn ko bikhrane naa diya, Jiss raah par pade tere kadmon ke nishan, Uss raah se kissi ko guzrane naa diya.
Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya, Jis pe marta tha usne hi bhula diya, Mein bhi uski Yaad bhulane k liye peeta gaya, Ek din zalim ne us mein bhi Zeher mila diya.
Yaar nay dil ka haal batana chor diya, Humne bhi gaherayi mein jana chod diya, Jab usko hi duri ka ehsas nahi, Humne bhi ehsas dilana chod diya.
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi, aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi, aaj bhi rote hain unki yaad main, jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin, Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna, Khat […]
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay, Hasta basta dil kar diya khali us nay, Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha, JUDAI mang li ban k SAWALI us nay!
Na tasveer hay tumhari jo DEEDAR kia jaye, Na tum ho paas jo PYAR kia jaye, Yeh kaisa dard diya hay tum nay, na kuch KAHA jaye na tum bin RAHA jaye..
Ek diya bhi jale door ki baat hai, Ho kahi bhi noor namumkin si baat hai, Khud se milne par bhi hai humare paabandiya, Tujh se milna to door ki baat hai.
Hum ne suboot diya apni Dosti ka, Ab aap apni dosti ka hisaab do, Agar nahi karte ho pyar to delete kar do yeh msg, Agar karte ho to is ka jawaab do.
Kahin andhaira to kahin shaam hogi, Meri her khushi tere naam hogi, Kuch mang k to daikh humse, Bijli, pani k bill or qarz main dubi, Property tere naam ho gi..
Shaam udas thi‚ subaah udas thi, kafan me lipti‚ hue meri laash‚ thi, aey mere ghar walo mujhey wahin dafnana, jahan meri aur USKI paheli mulakat thi.
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee, tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee, tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee. mujhe daikhe bina ik pal bhe […]
dilon ki daastan usay kahan qabool thi meri wafayain uske liye fazool thi koi aas nahi par itna bata do maine chaha use... kya yehi meri bhool thi
Yaad rakh ker meri dosti ko tumne, Meri zindagi per ehsan kar diya, Is mobile mein yeh last rupiya tha, Daikh wob bhi tere naam kar dia,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja, jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta, Khoo jati agar main kahin, to meri justuju karta, Mein us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jati, K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta […]
Meri chahtoun pe shikwey, teray Raabtoun main waqfey Haan yehe nishaaniyaan hain, k tu door ho rahaa hay!!!!!
Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay K Laakh Chaho Na Hans sako gay Hazaar chaho na Ro Sako gay' K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh Mere Dukhon ki kitaab hain yeh Rifaqatain In main Chotti hain Mohabbatain in main Roothti hain Pinapti Hain In main Vahshatain […]
Meri chahatain tumse alag kab hain, Dil ki batain tumse chupi kab hain, Tum sath raho dil main dharkan ki jaga, Phir zindagi ko sanson ki zarorat kab hai,
Meray Allah larai se bachana mujh ko, Aur sikha day koi banduk chalana mujhko! Khair se laut k ayain meray abbu ghar main Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main ! Raat din jaam traffic na rahay sarkon per Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per! Qalma gawaion ko musalman banaday […]
meri hasrat k janazy ko uthany waly, kitny bedard hain yeh loag zamany waly, koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari, ab kahan milty hain woh yar purany waly, main dua go hon sada nendain mubarik tum ko, hijar ka dard dy k muj ko jagany waly, bus yeh he soch kar har […]
Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon..! Isi Lagan Mein Kayi Shaamein Guzaar Deta Hoon..! Main Yunhi Her Aik Se Be-Rabt Nahin Milta, Her Aik Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon..! Main Gham Ki Kashti Ko Dabona Nahin Chaahta, Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon..! Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta […]