You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya...
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya....
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya...
jane kya us ko logon sey thein shikayatein...
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya...
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya...
Related SMS
- Kaisa dard diya hay tumne
- Kisne meri kabar par aake diya jala diya
- Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
- Ishq ne hume Rula Diya
- Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya
- Gham ney hasney na diya
- Yaar nay dil ka haal batana chor diya
- Qismat mein dard kon likhta hai
- Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
- Badi koshish k bad use bhula diya
- Ek diya bhi jale door ki baat hai,
- Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
- us ne mehsoos bhi na honey diya
- Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..
- Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
- Dil main he mere Dard-e-bhutto
- Dard Ka Tajir...
- Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay
- Merey Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
- 1 nafrat hi nahi dard ka sabab
- Dil ka dard dikhayain kis ko
- Is dard-e-dil ko zamana kya jane,
- Hasta basta dil kar diya khali us nay
- Muskura do zara khuda ke vaste,
- Kisi or ko daikh k muskura na sakay
- Us dil say pyar karo jo tumhein dard day
- Aik diya dil main jalana bhi, bujha bhi daina
- Hum ne suboot diya apni Dosti ka
- Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi
- Muje dard-e-ishq ka maza malum hai
Na tasveer hay tumhari jo DEEDAR kia jaye, Na tum ho paas jo PYAR kia jaye, Yeh kaisa dard diya hay tum nay, na kuch KAHA jaye na tum bin RAHA jaye..
Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya Us Se […]
Ishq ne hume Rula Diya Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya hum to unki yadon mein hi jee laitay, magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya
Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya, Jis pe marta tha usne hi bhula diya, Mein bhi uski Yaad bhulane k liye peeta gaya, Ek din zalim ne us mein bhi Zeher mila diya.
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Aankhon mein aansuon ko ubharne naa diya, Mitti ke motioyn ko bikhrane naa diya, Jiss raah par pade tere kadmon ke nishan, Uss raah se kissi ko guzrane naa diya.
Gham ney hasney na diya, zamanay ney roney na diya, is uljhano ney jiney na diya, thak k jab sitaron sey panah li, neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
Yaar nay dil ka haal batana chor diya, Humne bhi gaherayi mein jana chod diya, Jab usko hi duri ka ehsas nahi, Humne bhi ehsas dilana chod diya.
Kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hay... Agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hay?
Aaj rootha hua ek dost yaad aya, acha guzra hua kuch waqt yad aya, jo mere dard ko sine me chupa leta tha, aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Badi koshish k bad use bhula diya, uski yadon ko seenay say mita diya. 1 din phir uska paigham aya, likha tha mujhey bhul jao, aur mujhe bhula hua... ‚ har lamha yad dila diya.
Ek diya bhi jale door ki baat hai, Ho kahi bhi noor namumkin si baat hai, Khud se milne par bhi hai humare paabandiya, Tujh se milna to door ki baat hai.
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon […]
us ne mehsoos bhi na honey diya, yun kahani ka rukh moor diya, milney julney main ki kami pehley, phir rafta rafta hamein hi choor dya
Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay, De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay, Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon, Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay, Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI, Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay, Tu Agar Dil […]
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz Har roz aieene sey […]
Dil main he mere Dard-e-bhutto "Dard-e-bhutto" "Dard-e-bhutto" Wo hasina wo nilam pari,, hui thi wo election main khari,, na jane kahan se goli chal pari,, hamare lia ho gayi mushkil khari,, Dil main hay mere ""Dard-e-Bhutto"" ""Dard-e-Bhutto"" ha koi muqabla karne wala
Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ? Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya...
Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay, Deewanay dil pay qabu hum, paa na sakay, Aaj itnay qarib say guzar gayai woh, Phir bhi unka haath hum thaam na sakay...
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss […]
Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz... MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain.
paas aa k sab hi dur chale jate hai, hum akailay hain akele hi reh jate hai, Dil ka dard dikhayain kis ko? jab marham lagane wale hi dard de jate hai.
Is dard-e-dil ko zamana kya jane, Ak bewafa ishk ko nibhana kya jaane, Kabr ke ander hota hain kitna dard, Ye uper phul chadhane wala kya jane
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay, Hasta basta dil kar diya khali us nay, Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha, JUDAI mang li ban k SAWALI us nay!
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mai roshni kam hai, tum hamare nahi to kya ghum hai, hum tumhare to haiN ye kya kam hai?
Bohat chaha magar unhain bhula na sakay, Khalaon main kisi aur ko laa na sakay, Usko daikh k ansu to poch liye, Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day, Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay, Q k tum duniya k liyay koi aik ho, Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin, Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna, Khat […]
Hum ne suboot diya apni Dosti ka, Ab aap apni dosti ka hisaab do, Agar nahi karte ho pyar to delete kar do yeh msg, Agar karte ho to is ka jawaab do.
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi, aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi, aaj bhi rote hain unki yaad main, jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
Muje dard-e-ishq ka maza malum hai, Dard-e-dil ki inteha malum hai, Zindgi bhar muskrane ki dua na dena, Mujhe pal bhar muskrane ki saza malum hai.