SMS / Text Messages

Labon ki sersarahat se,badan k choor honay tak

Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.

Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.

Khataon par khata'ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.

Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.

Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi.

Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye.

Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise.

Ya teri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYe.

Lekin rehnay do

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Aadat nahi hay

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

Bad'dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay...

Juda honay ka andaisha

Juda hone ka andesha' juda honE se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush' khAfa hone se pehle tha,

Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,

Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba'wafa wo bewafa hone se pehle tha...

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee....

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya...
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya....

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya...

jane kya us ko logon sey thein shikayatein...
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya...

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya...

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Raat Se Dar Lagta Hai...

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai...

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be'faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Jo na mil saka wo baywafa

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai...

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha