SMS4Smile.com

Latest SMS / text messages & jokes [Love / Funny / good night / good morning / romantic / birthday & adult]

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey

posted in Ghazal SMS |

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote

Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote

Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote

Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote

Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote

Similar SMS:

  1. Jab dekhne waalaa koi naheen
  2. Us ne chaahaa bhi tujhe aur jataayaa bhi naheen
  3. Shaam e Gham Ki Qasam
  4. Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
  5. To jo rooth gia to azab hai