You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ki yadon me aansu bhane ka ?
jo samjhe na kisi ke dil mein basa pyaar..
kya fayada uske pyaar meindil ko tadpane ka
Related SMS
- Kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye
- Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
- Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare
- Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna
- Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki
- Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain
- Hum kisi aur k na ho sakain gay
- Dil k zakham kisi ko dikha na sako ge
- Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
- Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib
- Kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume.
- Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
- Main nay bhi kisi say pyar kiya tha... mazak kia tha
- Kisi pey mar mitne wale hum na thay
- Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte
- Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
- Kyu humain kisi ki talash hoti hai
- Jitna bhi kisi ko apna bana lo
- Kisi or ko daikh k muskura na sakay
- Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
- Bewaja kisi ko sataya nahi karte
- Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Na chaho kisi ko itna k chahat aap ki majbori ban jayai
- Dosti kisi ki riasat nahi hoti
- Kisi ke naam se pahle
- Kab kaun kisi ka hota hai
- Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua
- chand kisi aur ka ho gaya
- Kisi na kisipe aitbar ho jata hai
- Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat
- Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay
- Zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen, Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye, Bay panah pyaar kehtay hain usey, Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai, ajnabi koi shaks yaar ho jata hai, khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa, khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare, Kare to qayamat tak judaa na kare. Ye maana ki koi marta nahi judaai mein, Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Baydardi se apney dil par vaar na karna.
Maat roko iss behte dard ko, Saza hai ye kisi ke intzar ki, Keh lo inhe ashk ya diwangi, Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain Kisi k DIL ko dukhana na aya hamain Kisi ki YAAD mein tarapna to sekh Liya ! Magar apni YAAD men kisi ko tadpana na aya hamen.
Jaisay aap hamaray na ho sakay thay Hum kisi aur k na ho sakain gay, Pyaar nahin kia apna dil diya hay Ek pal bhi aap ko bhula na sakain gay...
Dil k zakham kisi ko dikha na sako ge, Dil mein jo he kisi ko bata na sako ge, Karoo ge jawani me jo girlfriend pe kharche, Budhape tak udhar chuka na sako gay:p
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz Har roz aieene sey […]
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib, Duniya mein sab hamraz badal jatay hain, Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata, Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume. kisi ke dil ko dukhana na aaya hume. kisi ke liye tadpna to seekh liya par apne liye kisi ko tadpana na aaya hume.
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye […]
Main nay bhi kisi say pyar kiya tha... thoda nahi bay shumar kiya tha, Meri to duniya hi badal gayi. Jab usne kaha... Aray mein‚ nay‚ to sirf mazak kiya tha
Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the, kisi pey mar mitne wale hum na thay, aadat si par gayi tumhe yaad karne ki, warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte, Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte, Ek baar yun kisi ko keh ker apna, Daman phir uss se churaya nahi karte, Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne […]
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum. Aapki taqdir mein har khushi likh dete. Jo mod aapko kamyabi dilaye. har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Kyu humain kisi ki talash hoti hai, Kyu dil ko kisi ki aas hoti hai, Chand ko dekho wo bhi tanha hai, Jabki chandni ki har raat uski mulakat hoti hai,.....
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi, Wafa kar lo chahe jitni,behwafai hi milegi Jitna bhi kisi ko apna bana lo, Jab aankh khulegi tanhai hi milegi
Bohat chaha magar unhain bhula na sakay, Khalaon main kisi aur ko laa na sakay, Usko daikh k ansu to poch liye, Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta Marne wale ke saath har koi nahi marta Arey‚¦ Marne ki baat to door rahi Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta
Bewaja kisi ko sataya nahi karte, had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte, jinki sansain chalti ho apke sMs se, unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari Humein Zindagi K Kathan Raston Mein Hemesha […]
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Na chaho kisi ko itna k chahat aap ki majbori ban jayai, Chaho kisi ko itna k aap ka pyar us k liyay zarori ban jayai..!
Dosti kisi ki riasat nahi hoti, Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna, Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle hui hai […]
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain... Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain... Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain... I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain... Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate […]
Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua, koi hai hairan to koi tarsa hua. Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri, Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.
Arz hai: Dil ke angan se chand ka didar ho gaya, mai dewana ho gaya,chand badalo mai kho gaya, maine badal hatne ka intjar kiya, tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai, Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai, Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha, Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat, Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahi hai. Ye Ishq-e-Mohabbat ki Riwayat bhi Ajeeb hai, Pana bhi nahi hai Usey Or khoona bhi nahi hai
Ashq bahay to ahsaas hota hay, Pyar k bina jeevan kitna udas hota hay, Umar ho teri sitaron jitni lambi, Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay.
zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti dosti sirf jazbaat nahi hoti kuch to khayal aaya hoga khuda ko, varna yu hi aapki humse mulakat nahi hoti.