Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya...
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya....

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya...

jane kya us ko logon sey thein shikayatein...
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya...

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya...