Yah uski bezubaani ka sila hai
posted in Ghazal SMS |
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
Similar SMS / Text messages
- Bewafa waqat se wafa mange
- Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
- Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai
- Main sun k uski sub batain
- Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
- Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
- Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
