Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
posted in Ghazal SMS |
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….
Similar SMS / Text messages
- Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
- Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
- Raat Se Dar Lagta Hai…
- Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee
- Pyar chupta nahi chupanay say
- Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut
- Jo na mil saka wo baywafa

(5 votes, average: 4.8 out of 5)