Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai
posted in Ghazal SMS |
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !
Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !
Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !
Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!
Similar SMS / Text messages
- Bewafa waqat se wafa mange
- Wastay nahi chaltay
- Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
- Kya khabar tum ko dosti kya hai
- Waqt-e-dua main ek dua karon
- Zindagi qaid-e-musalsal ka siwa kuch bhi nahi
- Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain


(3 votes, average: 3.67 out of 5)