Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
posted in Ghazal SMS |
Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,
aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,
bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,
chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,
khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya
rooth ke dono aik jaga baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya
Similar SMS:
- Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya
- Main duniya bhool jata hon
- dil to dil tha
- apni yadoon ka ghulam ker gaya
- tere khushbuu men base Khat main jalaataa kaise