Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya
posted in Ghazal SMS |
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,
Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,
Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Similar SMS:
- Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
- Main duniya bhool jata hon
- Mana ke bhool jana aapki fitrat hai sahi,
- Bhool samajh kar bhool jana.
- Wo sunta to main kehta