SMS / Text Messages

Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga

Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?

Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?

Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?

Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?

Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?

ik bar mujh say door ja k daikh kabhi

behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi

her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi

ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha'aon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi

kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi

kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi

kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja k daikh kabhi

Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs

Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs,
Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs,

Tamam rang meray aur saray khuwab meray,
Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,

Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon,
Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,

Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey,
Milley woh zakhm k phir yaad aa gaya aik shakhs,

Khula yeh raaz k aina khana hai duniya,
Aur is main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs...!

Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai

Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
To ab ghair hi bun jayain tou acha hai,

Hamari to umer guzri hai teri chahat main,
Tu is aag main na jalay to acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na ayai tou acha hai,

Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab to apni parchi bhi sath na ayai tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jayaito acha hai....!

Kuch door hamare saath chalo

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain "Ashk" mager
Har baat poorani kehdein ge

Aankhain Khuwab Dekhti Hain

Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!

Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

Ham say chahta tha k hum iltija karain

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !

apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Aankhon aankhon main

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main

Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Chupke chupke ro lena

Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,

Jab aankhein bhaari ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,

Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,

Yeh duniya zalim duniya hai...yeh baat bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,

Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.