Juda honay se darta hoon
posted in Ghazal SMS |
Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon ..
Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon…
Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain ,
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon …
Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee ,
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon…
Similar SMS:
- Juda honay ka andaisha
- Main Roi To Nahi Hoon……
- Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
- Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
- Tumhara chand sa chehra..
Hindi Holi SMS