Meri zindagi ki kitab ka
Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua
Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua
Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua
Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua
Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua
Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa
Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa
Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua
Similar SMS / text:
- Faqat piyar meri maa Is zulm ki duniya main faqat piyar meri maa, Hay meray liye...
- Aray hamain to apnon ne luta Aray hamain to apnon ne lota gheron mein kahan dum tha Meri...
- Meri qismat zardari jaisi kahan? Wife : Tum tou chahty ho k main mar jaon aur meri...
- Mujhey bhi aisay hi mila tha :p . . . . . . . . . . . Qasam...
- anso tumare niklein ankhein meri hon, anso tumare niklein ankhein meri hon, dil tumara dhadk dhadkane meri hon,...
- Jaisa tu chahta hay ab mujhey wesa kar de Ae-Allah iss se pehlay k yeh duniya mujhey ruswa kar de, Tu...
- Anso tumare niklein ankhein meri hon Anso tumare niklein ankhein meri hon, Anso tumare niklein ankhein meri hon,...
- Pehle woh meri girlfrnd thi Pehle woh meri girlfrnd thi, Mein bolta tha wo sunti thi, Phir...
- Meri taqdeer Mere hi hathon pey likhi hai taqdeer meri, aur meri hi taqdeer...
- DUNIA me reh k sapnon main kho jao, DUNIA me reh k sapnon main kho jao, KISI KO apna banalo...