Hindi Ghazal SMS / Text Messages

Hindi Ghazal SMS & Urdu Ghazal SMS Messages Collection.

Muhabbat khuwab hoti hay....

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (82 votes, average: 3.74 out of 5)
Loading...

Mohabat khawab hoti hai,
Mohabat baat hoti hai,

Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hai,

Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hai,

Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hai,

Mohabat yun b hoti hai
kurbay zaat hoti hai,

Mohabat phool hai shayid!
Ghamon ki dhool hai shaid!

Ksi ka saath hai shaid!
Chamakti raat hai shaid!

Mohabat pur sk¸¸n b hai.,
Mager!
Betaab hoti hai!

KOi apna aisa hua kare....!

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (136 votes, average: 3.58 out of 5)
Loading...

Koi apna aisa hua kare,
Jo shikayatein na gila kare,

Jo mere liye hi saja kare,
Jo mere liye hi bana kare,

Mein jo rooth jaon manaye woh,
Mein udas hoon to hansaye woh,

Sada chupke chupke dabe qadam,
Mere saath hi bas chala kare,

Kabhie us se mein jo door hoon,
Meri wapsi ki dua kare,

Koi apna aisa hua kare,
KOi apna aisa hua kare....!

Meri zindagi ki kitab ka

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (71 votes, average: 3.51 out of 5)
Loading...

Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua

Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua

Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua

Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua

Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa

Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua

Zindgi per kitab likhunga

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (73 votes, average: 3.68 out of 5)
Loading...

Zindgi per kitab likhunga...
Us mai sarey hisab likhunga....

Pyar ko waqt guzari lik kar.....
Chahton ko azaab likhunga..,

Hui barbad m0habbat kaisey....
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga.....

Apni khwahish ka tazkra kar k....
Naam tera jawab likhunga....

Teri ankhain sharab ki manind.....
Tera chehra gulaab likhunga....

Mai tuj se judai ka sabab....
Apni kismat kharab likhunga...

kabhi ansu, khushbu, naghma banker

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (96 votes, average: 3.80 out of 5)
Loading...

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vada Bankar

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Kion ho ???

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (65 votes, average: 3.83 out of 5)
Loading...

Kia hai jo pyar to chupate kion ho
Mehfil mein mera naam dohrate kion ho
Jal rahay ho mere pyar ki bhatti mein
Phir hijar ka dard cupate kion ho

Khuwabon mein bhi agar iqrar nahi
To khuwaboon mein phir aate kion ho
Nazrain mila ke sharma jate ho jo
Nazrain hum se milaate hi kion ho

Maan lo! ke dil hamain de baithay ho
Aag ko ab baraf batate kion ho
Chalo keh do tumhain se pyar nahi
yeh kehne se phir ghabratay kion ho

Mera zikar na kerna...

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (61 votes, average: 4.00 out of 5)
Loading...

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
Ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...

Woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
Tum raah guzaron se mera zikar na kerna...

Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
Ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...

Woh meri kahani ko galat rang na de dein...
Afsana nigaaron se mera zikar na kerna...

Shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
Is baar baharon se mera zikar na kerna...

Le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
Darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

Woh shakhs mile to usey har baat batana...
Tum sirf isharon se mera zikar na kerna...