You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Ussay keh do
Ussay keh do
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay.....
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay...
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko.....
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay.....
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou...
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay......
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa...
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay
Related SMS
- Wo sunta to main kehta
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Mohabbat ka izhaar aa ker khud karain
- Ujalay apni yaadon k......
- Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
- Mujhe tanha honay nahi detay
- Aise hi nashili nahi teri aankhen
- Sadion say jaagi aankhon ko ...
- KOI NAAM NAHI AY GA
- TEHREER MEIN THA
- Koi mousam bhi hum ko raas nahin
- jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
- Totay howay paimanay main jaam nahin aata
- Kaam kaam kaam
- Aur mujh hi say daman chura to na lo gay
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- To kia howa ?
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib
- Meri Zinadagi
- Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri
- Meray kum sakhan ka yeh hukum tha
- Wo nafrat bhi kartay hain pyar k liyay,
- Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana
- Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
- A for Apple - Dedicated to STEVE JOBS
- Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
- Khaali jaam liye baithe ho
- bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs
- Ankho mai dekha dil mee utar ke nahi dekha,
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha, wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha. kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di, mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha. kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di, usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha. […]
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi kartay, Yun kisi ka ka jaam hum piya nahi kartay. Un say keh do mohabbat ka izhaar aa ker khud karain, Youn kisi ka peecha hum kiya nahin kartay.
humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye sumandar k safar […]
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do Apni muskurahatain apna bholapun day do Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se […]
Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k "saqi" unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay
Jab khuda ne tujhe banaya hoga, ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga.. Aise hi nashili nahi teri aankhen, jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga...
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay Meri manoo […]
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga, Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga, Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj, Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga, Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay, Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga, Uski galyon mein hamay koi nahi […]
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha, Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha, Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay, Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha, Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi, Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel […]
Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin aik muddat say dil k paas hay woh aik muddat say dil udas nahin jub say daikha hay shaam aankhon mein tub say meray qayaim hawas nahin meray lehjay mein us ki khushbo hay us ki baaton mein meri baas […]
jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka woh piar se […]
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhi ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha'aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun […]
Totay howay paimanay main jaam nahin aata, Ishq k mareez ko araam nahin aata, Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota, Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Kaam kaam kaam 10 to 5 tak kaam uske baad ek shaam ush shaam mein aapke liye ek pyara sa jaam ush jaam se aap hamesha k liye jaam to bhool jao kaam
Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho Mujhey koi kari si saza tou na do gay Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay Jo mein bata […]
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Toota hai meray pyar ka bandhan to kia howa Barsa hay meri aankh se saawan to kia howa Yun bhi to saari duniya se kat kar jiya hon main, Tu bhi howa hai ab mera dushman to kia howa, Seenay mein dard aankh mein aansu sajay to hain, khali hay teray pyaar se daman t […]
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib Nahin milta to guzra hoa pal nahin milta Kartey rahen ge younhi sairab zameenen In aansoon ko ab koi aanchal nahin milta Ghurbat mein mayyasar kahan khushion ki dilbari Sehra mein kisi ko kabhi baadal nahin milta Kahney ko gham khowar-o-chara saaz hain bohat Amlann kisi ke […]
Mujhy bekhudi ki hai arzoo Mujhe qurbaton ka kumar dey Mery ang ang mei youn uter K mujhi mein khud ko utar de Tu jo rug rug mein bus gea Tu hai dorion ka jawaz kiya Meri zindgi mery pass aa Meri bekhudi ko qarar de Hai nazar nazar teri joostaju Tu meri wafa ki […]
Meray Allah larai se bachana mujh ko, Aur sikha day koi banduk chalana mujhko! Khair se laut k ayain meray abbu ghar main Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main ! Raat din jaam traffic na rahay sarkon per Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per! Qalma gawaion ko musalman banaday […]
Meray kum sakhan ka yeh hukum tha, K kalam us say mein kum keron Meray hont aisay silay k phir meri chup nay us ko rula dia
Wo nafrat bhi kartay hain pyar k liyay, Wo inkaar bhi kartay hain iqrar k liyay, Ajeeb hotay hai yeh ishq karne waalay, Aankhain bhi band kartay hain to sirf deedaar k liyay.
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho yun hi bahanay qayam rakhna, tum […]
Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya […]
Dedicated to STEVE JOBS A for apple. B for bada apple. C for chhota apple. D for dusra apple. E for ek aur apple. F for fokat ka apple. G for gol apple. H for hazar apple. I for itney saarey apple? J for jaao nahi khaana hai apple. K for kaise nahi khaayengey apple. […]
Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota […]
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil […]
bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte. jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte. agar unko mohabbat hai toh hum se akar izaar kare. peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs, Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs, Tamam rang meray aur saray khuwab meray, Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs, Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon, Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs, Mohabbaton nay kisi ki bhula […]
Ankho mai dekha dil mee utar ke nahi dekha, Kasti ke logo ne samundar ko na dekha. Patthar Mujhe kahta hai mera chaane wala, Mai moom hoo usne mujhe chu ke nahi dekha.